Sher
chhapi thi jis ki ghazal men zamane bhar ki khushi
khud us ki ziist ka naghma azaab sa ubhra

Abdul Matin Jami
chhapi thi jis ki ghazal men zamane bhar ki khushi
khud us ki ziist ka naghma azaab sa ubhra
uchhale jis pe malamat ke sang logon ne
vajud us ka muqaddas kitab sa ubhra
chhapi thi jis ki ghazal mein zamaane bhar ki khushi
khud us ki ziist kaa naghma azaab saa ubhraa
uchhaale jis pe malaamat ke sang logon ne
vajud us kaa muqaddas kitaab saa ubhraa
naghmon ke qaafile kaa main tanhaa naqib thaa
नग़्मों के क़ाफ़िले का मैं तन्हा नक़ीब था
jab andhere ke bayaabaan se guzar jaaegaa
जब अंधेरे के बयाबाँ से गुज़र जाएगा
dard kaa shahr hai armaan ki baatein kar lein
दर्द का शहर है अरमान की बातें कर लें
har koi Duubaa huaa thaa saazishon ki jhiil mein
हर कोई डूबा हुआ था साज़िशों की झील में
zehn ke baagh mein khaDaa huun main
ज़ह्न के बाग़ में खड़ा हूँ मैं
aag ke sahraa mein apnaa lamha lamha zard thaa
आग के सहरा में अपना लम्हा लम्हा ज़र्द था