Sher
ik tira hijr da.imi hai mujhe
varna har chiiz aarzi hai mujhe

Tahzeeb Hafi
ik tira hijr da.imi hai mujhe
इक तिरा हिज्र दाइमी है मुझे
tamam nakhuda sahil se duur ho jaa.en
तमाम नाख़ुदा साहिल से दूर हो जाएँ
peD mujhe hasrat se dekha karte the
पेड़ मुझे हसरत से देखा करते थे
main jangalon ki taraf chal paDa huun chhoD ke ghar
मैं जंगलों की तरफ़ चल पड़ा हूँ छोड़ के घर
main ki kaghaz ki ek kashti huun
मैं कि काग़ज़ की एक कश्ती हूँ
bata ai abr musavat kyuun nahin karta
बता ऐ अब्र मुसावात क्यूँ नहीं करता
ik tira hijr da.imi hai mujhe
varna har chiiz aarzi hai mujhe
tamam nakhuda sahil se duur ho jaa.en
samundaron se akele men baat karni hai
peD mujhe hasrat se dekha karte the
main jangal men paani laaya karta tha
main jangalon ki taraf chal paDa huun chhoD ke ghar
ye kya ki ghar ki udasi bhi saath ho ga.i hai
main ki kaghaz ki ek kashti huun
pahli barish hi akhiri hai mujhe
bata ai abr musavat kyuun nahin karta
hamare gaanv men barsat kyuun nahin karta
main jis ke saath kai din guzaar aayaa huun
vo mere saath basar raat kyuun nahin kartaa
teraa chup rahnaa mire zehn mein kyaa baiTh gayaa
itni aavaazein tujhe diin ki galaa baiTh gayaa
apni masti mein bahtaa dariyaa huun
main kinaara bhi huun bhanvar bhi huun
daastaan huun main ik tavil magar
tu jo sun le to mukhtasar bhi huun
vo jis ki chhaanv mein pachchis saal guzre hain
vo peD mujh se koi baat kyuun nahin kartaa
sahraa se ho ke baagh mein aayaa huun sair ko
haathon mein phuul hain mire paanv mein ret hai