Sher
rahna tum chahe jahan khabron men aate rahna
ham ko ehsas-e-juda.i se bachate rahna

Wamiq Jaunpuri
rahna tum chahe jahan khabron men aate rahna
रहना तुम चाहे जहाँ ख़बरों में आते रहना
use zid ki 'vamiq'-e-shikva-gar kisi raaz se na ho ba-khabar
उसे ज़िद कि 'वामिक़'-ए-शिकवा-गर किसी राज़ से न हो बा-ख़बर
ai kaash mire gosh o nazar bhi rahen sabit
ऐ काश मिरे गोश ओ नज़र भी रहें साबित
ham ko hajat nahin naqibon ki
हम को हाजत नहीं नक़ीबों की
na puchho bebasi us tishna-lab ki
न पूछो बेबसी उस तिश्ना-लब की
sarkashi khud-kashi pe khatm hui
सरकशी ख़ुद-कशी पे ख़त्म हुई
rahna tum chahe jahan khabron men aate rahna
ham ko ehsas-e-juda.i se bachate rahna
use zid ki 'vamiq'-e-shikva-gar kisi raaz se na ho ba-khabar
mujhe naaz hai ki ye dida-var miri umr bhar ki talash hai
ai kaash mire gosh o nazar bhi rahen sabit
jab husn suna jaa.e ya naghma nazar aa.e
ham ko hajat nahin naqibon ki
sher apna naqib hai khud hi
na puchho bebasi us tishna-lab ki
ki jis ki dastaras men jaam bhi hai
sarkashi khud-kashi pe khatm hui
ek rassi thi jal ga.i shayad
kaun suntaa hai bhikaari ki sadaaein is liye
kuchh zarifaana latife yaad kar lete hain ham
pahchaan lo us ko vahi qaatil hai hamaaraa
jis haath mein TuuTi hui talvaar lage hai
mire fikr o fan ko nai fazaa nae baal-o-par ki talaash hai
jo qafas ko yaas ke phunk de mujhe us sharar ki talaash hai
vo vaade yaad nahin tishna hai magar ab tak
vo vaade bhi koi vaade jo mai pilaa ke liye
kis ne basaayaa thaa aur un ko kis ne yuun barbaad kiyaa
apne lahu ki bu aati hai in ujDe baazaaron se
ye maanaa shisha-e-dil raunaq-e-baazaar-e-ulfat hai
magar jab TuuT jaataa hai to qimat aur hoti hai