Shayari
bujhne nahin diyaa ise furqat ke baa'd bhi
yaadon se teri dil ko farozaan rakhaa sadaa
Z
Zyesha UsmaanZyesha Usmaan
bujhne nahin diyaa ise furqat ke baa'd bhi
yaadon se teri dil ko farozaan rakhaa sadaa
log aaeinge bahut chhoD ke jaaeinge bahut
har kisi ko na kaleje se lagaa kar rakhiye
baDi viraani hai dil ke shajar par
mohabbat ke parinde uD gae kyaa
muflisi paanv ki zanjir thi aur
ru-ba-ru aa ke zarurat Thahri
kaisaa ye marhala hai ki ik dusre se ham
kahne ko aashnaa hain magar aashnaa nahin
har baat dil ki lab pe nahin laanaa laazmi
kuchh guftugu mein bhi adab aadaab chaahiye
tire hi rahm-o-karam pe zinda tujhi se ghaafil the 'umr bhar ham
तिरे ही रहम-ओ-करम पे ज़िंदा तुझी से ग़ाफ़िल थे 'उम्र भर हम
kis samt baDh rahe hain qadam kuchh pataa nahin
किस सम्त बढ़ रहे हैं क़दम कुछ पता नहीं
aankh mein ashk kaa jis tarh sitaara chamke
आँख में अश्क का जिस तरह सितारा चमके
koi na ham-safar na koi rahnumaa milaa
कोई न हम-सफ़र न कोई रहनुमा मिला
kyaa bataaun ki kyaa thaa aankhon mein
क्या बताऊँ कि क्या था आँखों में