SHAWORDS

andheri shab mein hamesha se ilm vaale log — Ishaq Virdag

HomeIshaq VirdagGhazal
"andheri shab mein hamesha se ilm vaale log kitaab paDhte hue raushni banaate hain"
Urdu

اندھیری شب میں ہمیشہ سے علم والے لوگ کتاب پڑھتے ہوئے روشنی بناتے ہیں

Hindi

अँधेरी शब में हमेशा से इल्म वाले लोग किताब पढ़ते हुए रौशनी बनाते हैं

añdherī shab meñ hamesha se ilm vaale log
Ishaq Virdag
Ishaq Virdag
Ishaq Virdag
poet19 quotes

More by Ishaq Virdag

View all →
Quote
"nahin jaati agar ye aasmaan tak to phir is chikh ki had hai kahaan tak chalo paani se vo shoala nikaalein uThaae jo zamin ko aasmaan tak ab agle moD par paataal hogaa yaqin se aa gayaa huun main gumaan tak zamaane ko samajh paayaa nahin huun main samjhaataa rahun khud ko kahaan tak ajab ik khel khelaa jaa rahaa hai na thaa jis kaa hamein koi gumaan tak bahut hi khubsurat raasta hai jo sidhaa jaa rahaa hai raaegaan tak zamin ke baab mein kuchh mashvare hain zaraa main jaa rahaa huun aasmaan tak"
Ishaq VirdagIshaq Virdag
Quote
"ham khaak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain aur log samajhte hain ki ghar DhunD rahe hain divaanon ke maanind mare shahr ke sab log dastaar ke qaabil koi sar DhunD rahe hain ab shaam hai to shahr mein gaanv ke parinde rahne ke liye koi shajar DhunD rahe hain jo dil ke nihaan-khaanon mein rahtaa hai hamesha ye log use aaj kidhar DhunD rahe hain galiyon mein jo phirte hain ye maanus se chehre Dhalti hui tahzib ke ghar DhunD rahe hain afsurda se chehron pe baDi der se ham log ik khoyaa huaa dast-e-hunar DhunD rahe hain"
Ishaq VirdagIshaq Virdag
Quote
"main vo majnun ki ik sahraa hai mujh mein vo sahraa bhi bahut simTaa hai mujh mein mujhe khud se nikaalegaa vo aakhir ba-naam-e-ishq jo aayaa hai mujh mein tumhaari yaad ko kaise nikaalun ki baaqi kuchh nahin bachtaa hai mujh mein kisi ke barf se lahje ke haathon ajab shoala saa ik bhaDkaa hai mujh mein koi taaviz kaa paani pilaa do koi jaadugari kartaa hai mujh mein kamini ko khabar is ki nahin hai ki sar se paanv tak dhokaa hai mujh mein tumhaare baad ye dekhaa nahin hai na-jaane kaun ab rahtaa hai mujh mein tumhein meri zarurat bhi paDegi puraane shahr kaa naqsha hai mujh mein tumhaari samt hijrat kar chukaa hai kahaan 'ishaaq' ab rahtaa hai mujh mein"
Ishaq VirdagIshaq Virdag
Quote
"khvaab ne rakh liyaa fasaane mein tum ne taakhir ki jagaane mein is zamin ko falak banaane mein main bhi shaamil thaa ik zamaane mein tere kirdaar ko uThaane mein mujh ko marnaa paDaa fasaane mein kaam karte hain roz-o-shab saahab ham mohabbat ke kaar-khaane mein baam-o-dar dushmanon ke saathi the mujh ko divaar se lagaane mein ishq mein thoDi si suhulat thi hazrat-e-qais ke zamaane mein din-o-duniyaa se jaanaa paDtaa hai dil ko divaangi banaane mein vaqt hi har taraf rukaavaT hai laa-makaan se makaan banaane mein aag ke darmiyaan baiThe hain qissa-khvaani ke chaae-khaane mein maktab-e-ishq mein sabaq paDhne log aaeinge har zamaane mein"
Ishaq VirdagIshaq Virdag
Quote
"hone kaa e'tibaar nahin kar rahe hain log ab khud ko ikhtiyaar nahin kar rahe hain log ab ishq aur dasht khasaare mein hain miyaan ab dil kaa kaarobaar nahin kar rahe hain log tayyaar hai tamaashaa dikhaane ko ek shakhs maahaul saazgaar nahin kar rahe hain log ab hai nizaam-e-ishq mein tarmim kaa chalan taaron kaa bhi shumaar nahin kar rahe hain log hairaan huun ki itni riyaazat ke baavajud kyuun vaqt ko ghubaar nahin kar rahe hain log khush huun ki aasmaan se hai qaaem zamin kaa rabt dukh hai ki paaedaar nahin kar rahe hain log shaayad ki meri maut kaa elaan ho chukaa ab mujh pe koi vaar nahin kar rahe hain log aage ki dauD mein hue mahdud is tarah maazi pe eqtidaar nahin kar rahe hain log ai yaar apne husn pe kuchh khaak Daal de ab ishq ikhtiyaar nahin kar rahe hain log ab nisf shab nikalte hain be-khauf kaam par suraj kaa intizaar nahin kar rahe hain log"
Ishaq VirdagIshaq Virdag