"koi achchhaa nahin hotaa hai bari chaalon se lab-e-baam aa ke khaDe ho na khule baalon se roz-o-shab kis liye rahtaa huun ilaahi betaab na to goron se mohabbat na mujhe kaalon se josh-e-vahshat mein jo jangal ki taraf jaa niklaa tap chaDhi sher-e-niyastaan ko mire naalon se koi kuchh ishq kaa kartaa hai bayaan koi kuchh tang aayaa huun main is qaziya ke dallaalon se beshtar subh-e-shab-e-vasl se ham guzreinge zor-e-adbaar chalegaa na khush-iqbaalon se mast haathi hai tiri chashm-e-siyah mast ai yaar saf-e-mizhgaan use ghere hue hai bhaalon se ru-e-khubaan se milegaa hamein bosa ki nahin haal in shaklon kaa kuchh puchhiye rammaalon se aarzi husn se nafrat ye hui hai dil ko rutba zulfon ko nahin makDiyon ke jaalon se khat-e-shab-gun ne nikal kar abas andher kiyaa kaafiristaan to vo rukh aage hi thaa khaalon se do jahaan hashr ke din hoveinge baaham maujud muttafiq honge idhar vaale udhar vaalon se dil hasinon ke tasavvur se banaayaa khaali aaina-khaanon mein kasrat rahi timsaalon se kuchh to halkaa karein khaar-e-rah sahraa-e-junun bojh langar kaa hue hain kaf-e-paa chhaalon se in ke boson ki tamannaa hai labon ko 'aatish' aaina kasb-e-safaa karte hain jin gaalon se"
bargashta-taalai kaa tamaashaa dikhaaun main — Haidar Ali Aatish
"bargashta-taalai kaa tamaashaa dikhaaun main ghar ko lage jo aag to paani bujhaaun main jins-e-giraan-bahaa kaa kharidaar kaun hai yaktaa nahin ilaahi jo chori hi jaaun main laala-rukhon ke husn kaa bhukaa huun is qadar dil ho na sair laakh agar daagh khaaun main aankhein miri kare jo munavvar jamaal-e-yaar ghē ke charaagh tuur ke uupar jalaaun main murde ki tarah sote hain kaise mire nasib Thokar se paa-e-yaar ke un ko jagaaun main bosa mile kamaan kaa jo abru-e-yaar ki mehraab-e-bait-e-kaaba mein chillaa chaDhaaun main ji chaahtaa hai shauq-e-shahaadat mein qabl-e-marg banvaa ke qabr-e-laala ko us par lagaaun main ghar mein jo mujh faqir ke vo shaah-e-husn aae mizhgaan ke boriye jo khaDe hain bichhaaun main kaanTaa sukhaa ke hijr ne har-chand kar diyaa vo gul-badan mile to na phulaa samaaun main tum to gharib-khaane mein aae na ek roz farmaaiye to shab ko kisi vaqt aauun main baarik-bin huun shaaer-e-naazuk-khayaal huun mazmun jahaan kamar kaa mile baandh laaun main 'aatish' ghulaam-e-saaqi-e-kausar huun chaahiye firdaus kaa khulaa huaa darvaaza paaun main"
برگشتہ طالعی کا تماشا دکھاؤں میں گھر کو لگے جو آگ تو پانی بجھاؤں میں جنس گراں بہا کا خریدار کون ہے یکتا نہیں الٰہی جو چوری ہی جاؤں میں لالہ رخوں کے حسن کا بھوکا ہوں اس قدر دل ہو نہ سیر لاکھ اگر داغ کھاؤں میں آنکھیں مری کرے جو منور جمال یار گھی کے چراغ طور کے اوپر جلاؤں میں مردے کی طرح سوتے ہیں کیسے مرے نصیب ٹھوکر سے پائے یار کے ان کو جگاؤں میں بوسہ ملے کماں کا جو ابروئے یار کی محراب بیت کعبہ میں چلا چڑھاؤں میں جی چاہتا ہے شوق شہادت میں قبل مرگ بنوا کے قبر لالہ کو اس پر لگاؤں میں گھر میں جو مجھ فقیر کے وہ شاہ حسن آئے مژگاں کے بوریے جو کھڑے ہیں بچھاؤں میں کانٹا سکھا کے ہجر نے ہر چند کر دیا وہ گل بدن ملے تو نہ پھولا سماؤں میں تم تو غریب خانہ میں آئے نہ ایک روز فرمائیے تو شب کو کسی وقت آؤں میں باریک بیں ہوں شاعر نازک خیال ہوں مضموں جہاں کمر کا ملے باندھ لاؤں میں آتشؔ غلام ساقی کوثر ہوں چاہئے فردوس کا کھلا ہوا دروازہ پاؤں میں
बरगश्ता-तालई का तमाशा दिखाऊँ मैं घर को लगे जो आग तो पानी बुझाऊँ मैं जिंस-ए-गिराँ-बहा का ख़रीदार कौन है यकता नहीं इलाही जो चोरी ही जाऊँ मैं लाला-रुख़ों के हुस्न का भूका हूँ इस क़दर दिल हो न सैर लाख अगर दाग़ खाऊँ मैं आँखें मिरी करे जो मुनव्वर जमाल-ए-यार घी के चराग़ तूर के ऊपर जलाऊँ मैं मुर्दे की तरह सोते हैं कैसे मिरे नसीब ठोकर से पा-ए-यार के उन को जगाऊँ मैं बोसा मिले कमाँ का जो अबरू-ए-यार की मेहराब-ए-बैत-ए-काबा में चिल्ला चढ़ाऊँ मैं जी चाहता है शौक़-ए-शहादत में क़ब्ल-ए-मर्ग बनवा के क़ब्र-ए-लाला को उस पर लगाऊँ मैं घर में जो मुझ फ़क़ीर के वो शाह-ए-हुस्न आए मिज़्गाँ के बोरिए जो खड़े हैं बिछाऊँ मैं काँटा सुखा के हिज्र ने हर-चंद कर दिया वो गुल-बदन मिले तो न फूला समाऊँ मैं तुम तो ग़रीब-ख़ाने में आए न एक रोज़ फ़रमाइए तो शब को किसी वक़्त आऊँ मैं बारीक-बीं हूँ शायर-ए-नाज़ुक-ख़याल हूँ मज़मूँ जहाँ कमर का मिले बाँध लाऊँ मैं 'आतिश' ग़ुलाम-ए-साक़ी-ए-कौसर हूँ चाहिए फ़िरदौस का खुला हुआ दरवाज़ा पाऊँ मैं

More by Haidar Ali Aatish
View all →"khaar matlub jo hove to gulistaan maangun bijli girne ko jo ji chaahe to baaraan maangun shama gul hove jo subh-e-shab-e-hijraan maangun os paDni bhi ho mauquf jo yaaraan maangun khaak mein bhi jo milun main to kisi sahraa mein tum se miTTi bhi na ai gabr o musalmaan maangun bakht-e-vaazhun ne zabaan ko ye asar bakhshaa hai talkhi-e-marg mazaa de jo namakdaan maangun khaana-e-dil mein karun daagh-e-mohabbat ko talab raushni ke liye is ghar ke jo mehmaan maangun paadshaahi se faqiri kaa hai paayaa baalaa boriyaa chhoD ke kyaa takht-e-sulaimaan maangun ranj se ishq ke hai raaht-e-duniyaa bad-tar zakhm-e-khandaan huun agar main gul-e-khandaan maangun de diyaa kijiye saudaai tumhaaraa huun miyaan sunghne ko jo kabhi zulf-e-pareshaan maangun aashiqe-e-dast-e-nigaarin huun ajab kyaa is kaa bhiik dariyaa se agar panja-e-marjaan maangun meve par baagh-e-jahaan mein ho jo dil ko raghbat shajar-e-husn se main seb-e-zanakhdaan maangun jaama-e-jism bhi rakhne kaa nahin dast-e-junun pairahan-e-khaak mein divaana-e-uryaan maangun yaas-o-hirmaan huun jo lohe ke chane bhi to chabaaun neamat-e-ishq ke qaabil lab-o-dandaan maangun milti ho maangne se baagh-e-jahaan mein jo muraad gul se bulbul ke kafan ke liye daamaan maangun kab se dar par tire saail huun main 'aatish' ki tarah vo mile mujh ko jo kuchh ai shah-e-khubaan maangun"
"sar shama saan kaTaaiye par dam na maariye manzil hazaar sakht ho himmat na haariye maqsum kaa jo hai so vo pahunchegaa aap se phailaaiye na haath na daaman pasaariye taalib ko apne rakhti hai duniyaa zalil o khvaar zar ki tamaa se chhaante hain khaak niyaariye tanhaai hai gharibi hai sahraa hai khaar hai kaun aashnaa-e-haal hai kis ko pukaariye tum faatiha bhi paDh chuke ham dafn bhi hue bas khaak mein milaa chuke chaliye sidhaariye"
"qad-e-sanam saa agar aafrida honaa thaa na sarv-e-baagh ko itnaa kashida honaa thaa huaa hai zulf se gustaakh kis qadar shaana hamaare paas bhi dast-e-burida honaa thaa na khinchnaa thaa zulekhaa ko daaman-e-yusuf usi kaa parda-e-ismat darida honaa thaa diyaa na saath jo sabr-o-qaraar ne na diyaa ravaana mulk-e-adam ko jarida honaa thaa miTaae se koi miTtaa hai baatilon ke haq kuchh ikhtiyaar se kyaa barguzida honaa thaa na jaantaa thaa ghazab hai nigah kaa tiir ai dil tujhi ko saamne aafat-rasida honaa thaa rulaataa shaam-o-sahar kis tarah na taale-e-past buland sar se mire aab-dida honaa thaa gurez-e-yaar ne barbaad kar diyaa ham ko ghubaar-e-raah ghazaal-e-ramida honaa thaa na aai daaman-e-daaya mein niind ai 'aatish' darun-e-daaman-e-khaak aaramida honaa thaa"
"naaz-o-adaa hai tujh se dil-aaraam ke liye ye jaama qata hai tire andaam ke liye vahshat mein kaabe ko jo gayaa ku-e-yaar se latte junun ne jaama-e-ehraam ke liye aashiq huun har tarah se gunahgaar huun tiraa haajat qusur ki nahin ilzaam ke liye kyaa kyaa japegi kaisaa raTegi zabaan use tasbih ham ne li hai tire naam ke liye tifli ke girye kaa ye khulaa haal vaqt-e-marg aaghaaz hi mein rote the anjaam ke liye achchhaa nahin muqaabla us chashm-e-shokh se ik din shikast-e-faash hai baadaam ke liye vo naunihaal aae ilaahi muraad par haasil ho pukhtagi samar-e-khaam ke liye har-chand apnaa naama-e-isyaan siyaah ho hogaa safed subh hai har shaam ke liye naamard aur mard mein itnaa hi farq hai vo naan ke liye mare ye naam ke liye misl-e-kamand apni rasaai hui agar ai qasr-e-yaar bose lab-e-baam ke liye kyaa chashm-e-mast-e-yaar se tashbih dijiye kaifiyyat-e-nigaah nahin jaam ke liye rakhvaa ke zulfein yaar ne laakhon hi murgh-e-dil paidaa kiye hain kashmakash-e-daam ke liye dil mein sivaae yaar jagah ho na ghair ki khalvat saraa-e-khaas nahin aam ke liye jaataa hai bahr-e-ghusl jo ai khush-dimaagh tu jaltaa hai uud garmi-e-hammaam ke liye 'aatish' jo chaahe paae tavakkul ke mahkame jo subh ko mile na rahe shaam ke liye"
"shohra-e-aafaaq mujh saa kaun saa divaana hai hind mein main huun paristaan mein miraa afsaana hai said-gaah-e-murgh-e-dil rukhsaara-e-jaanaana hai daam-e-zulf-e-ambarin hai khaal-e-mushkin daana hai husn se rutba hai apne ishq-e-kaamil kaa buland aastaana par pari hai baam par divaana hai is mein rahtaa hai safaa-e-ru-e-jaanaan kaa khayaal dil nahin pahlu mein apne aaina kaa khaana hai bechtaa huun dil ko jo mahbub chaahe mol le bosa qimat hai tavajjoh ki nazar baiaana hai phuTein vo aankhein nigaah-e-bad se jo dekhein tujhe aatishin rukhsaar mijmar khaal kaalaa daana hai roz-o-shab us shama-ru ko bhejtaa huun khatt-e-shauq naama-bar din ko kabutar raat ko parvaana hai khaar khaar-e-dil ghanimat jaantaa huun ishq mein zulf-e-dud-e-aah ki aarastagi kaashaana hai sharh likkhaa chaahiye us ki bayaaz-e-subh par matla-e-khurshid bait-e-abru-e-jaanaana hai haalat-e-aaina rakhtaa hai safaa se dil miraa aashnaa se aashnaa begaana se begaana hai qatl se mujh sakht-jaan ke munkir ai qaatil na ho hujjat-e-qaate tiri talvaar kaa dandaana hai vaaste har shai ke duniyaa mein muqarrar hain mahal shahr mein jab tak hai majnun ganj-e-be-viraanaa hai baagh-e-aalam mein nahin us shokh saa koi hasin gul hai apnaa yaar yusuf sabza-e-begaana hai ab nahin ai yaar jauban ko tire bim-e-zavaal khatt-e-mushkin husn ki jaagir kaa parvaana hai haal hai jis kaa usi ke vaaste hai khushnumaa naqs hai talvaar kaa vasf arraa kaa dandaana hai yaar khinche tegh tere qatl karne ke liye sar jhukaa 'aatish' ye jaa-e-sajda-e-shukraana hai"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"