SHAWORDS

dosto haal-e-dil-e-zaar zaraa us se kaho — Kishan Kumaar Waqaar

"dosto haal-e-dil-e-zaar zaraa us se kaho kam na ho is mein zaraa balki sivaa us se kaho baat ghaD kar na koi bahr-e-khudaa us se kaho jitnaa main munh se kahun meraa kahaa us se kaho ye na kahiyegaa ki ham zakhmon pe chhiDkeinge namak jis kisi ne ki na chakkhaa ho mazaa us se kaho shaam-e-andoh ki shaayad ki sahar ho jaae miraa din raat kaa ye shor-o-bukaa us se kaho chashm-e-bimaar ne bimaar kiyaa hai mujh ko lab-e-jaan-bakhsh kare meri davaa us se kaho haath uThaa baiThe na vo qatl se mere yaaro khun-bahaa main ne ba-hal apnaa kiyaa us se kaho ik hasin puchhtaa thaa haal-e-vaqaar-e-khasta go buraa ho miraa itnaa to bhalaa us se kaho"
Urdu

دوستو حال دل زار ذرا اس سے کہو کم نہ ہو اس میں ذرا بلکہ سوا اس سے کہو بات گھڑ کر نہ کوئی بہر خدا اس سے کہو جتنا میں منہ سے کہوں میرا کہا اس سے کہو یہ نہ کہیے گا کہ ہم زخموں پہ چھڑکیں گے نمک جس کسی نے کہ نہ چکھا ہو مزا اس سے کہو شام اندوہ کی شاید کہ سحر ہو جائے مرا دن رات کا یہ شور و بکا اس سے کہو چشم بیمار نے بیمار کیا ہے مجھ کو لب جاں بخش کرے میری دوا اس سے کہو ہاتھ اٹھا بیٹھے نہ وہ قتل سے میرے یارو خوں بہا میں نے بحل اپنا کیا اس سے کہو اک حسیں پوچھتا تھا حال وقارؔ خستہ گو برا ہو مرا اتنا تو بھلا اس سے کہو

Hindi

दोस्तो हाल-ए-दिल-ए-ज़ार ज़रा उस से कहो कम न हो इस में ज़रा बल्कि सिवा उस से कहो बात घड़ कर न कोई बहर-ए-ख़ुदा उस से कहो जितना मैं मुँह से कहूँ मेरा कहा उस से कहो ये न कहियेगा कि हम ज़ख़्मों पे छिड़केंगे नमक जिस किसी ने कि न चक्खा हो मज़ा उस से कहो शाम-ए-अंदोह की शायद कि सहर हो जाए मिरा दिन रात का ये शोर-ओ-बुका उस से कहो चश्म-ए-बीमार ने बीमार किया है मुझ को लब-ए-जाँ-बख़्श करे मेरी दवा उस से कहो हाथ उठा बैठे न वो क़त्ल से मेरे यारो ख़ूँ-बहा मैं ने ब-हल अपना किया उस से कहो इक हसीं पूछता था हाल-ए-वक़ार-ए-ख़स्ता गो बुरा हो मिरा इतना तो भला उस से कहो

dosto hāl-e-dil-e-zār zarā us se kaho
K
Kishan Kumaar Waqaar
Kishan Kumaar Waqaar
poet67 quotes

More by Kishan Kumaar Waqaar

View all →
Quote
"dilon par ye naqsh us ne apnaa biThaayaa ki jo choT par said aayaa biThaayaa misaal-e-kabutar mire dil ko us ne bhagaayaa bulaayaa uThaayaa biThaayaa tire aatishin husn ne shama ko shab khapaayaa jalaayaa galaayaa biThaayaa uThaayaa usi gham ne duniyaa se pyaare kabhi tum ne ham ko na tanhaa biThaayaa samajh teri ulTi hai ai jaan-e-aalam ki apnaa uThaayaa paraayaa biThaayaa na bole lahad mein bhi ham Dar se tere farishton ne kitnaa jagaayaa biThaayaa gayaa koThe par vo ye ki mah ne azmat ki ujlaa bichhaunaa bichhaayaa biThaayaa ye vo qais hai khaas shaagird meraa pakaD kaan jis ko uThaayaa biThaayaa 'vaqaar' is ghazal ki zamin had buri thi bahut zor de kar biThaayaa biThaayaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"aashiqi mein hai jaan kaa khaTkaa aur bhi kuchh buraa bhalaa khaTkaa yaar sayyaad baaghbaan kaa huaa ye nayaa aur ik bandhaa khaTkaa kaan aahaT ki raah se na haTe dil mein thaa kis ke aane kaa khaTkaa vahi kaavish mizha ne ki aakhir jis kaa avval se dil mein thaa khaTkaa bulbul-e-paak-bin hai aashiq-e-gul baaghbaan tu na khaTkhaTaa khaTkaa be tire yaar sair-e-gulshan mein phuul aankhon mein khaar saa khaTkaa tujh ko dekhaa uThaa uThaa kar sar saans kaa bhi agar huaa khaTkaa ishq ke hain 'vaqaar' chaar unsur khauf andesha-o-daghaa khaTkaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"ishq hai us zulf kaa sartaaj aaj hai rasul-e-husn ki mearaaj aaj nok-e-mizhgaan par nahin hai lakht-e-dil daar par khinchaa gayaa hallaaj aaj tark chashm-e-yaar ke tevar hain aur khirman-e-taaqat kaa hai taaraaj aaj tegh-e-abru kal paDi dil par mire tiir mizhgaan kaa huaa aamaaj aaj chuse hain us ke misi aaluda-lab main ne nilam kaa kiyaa pokhraaj aaj vasl ki marzi thi kal us shokh ki phir gayaa vo vaqt-e-istimzaaj aaj likkhaa hai jo vasf abru kaa 'vaqaar' sher-sheari se na le kyuun baaj aaj"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"shoaraa mein na ho kyuun sher hamaaraa unchaa ki qad-e-yaar kaa mazmun hai baandhaa unchaa naaz ki nashv-o-numaa hai ki hai joban kaa ubhaar varna kyaa hai tire siine pe ye unchaa unchaa dil musaafir hai safar shab kaa phir is par turra kucha-e-zulf mein hai har jagah nichaa unchaa ai adab khaar ki taazim hai nichaa rahnaa haan kahin ho na sar-e-aabla-e-paa unchaa zulf hai past jo gesu se to ye kaakul se chau-gune martaba mein is se hai turra unchaa chashm-e-bad-dur buland ashk hai sar se ik haath ghair mumkin hai zamin se bahe dariyaa unchaa kyuun 'vaqaar' apnaa galaa pir-o-javaan phaaDte hain pir-e-kohna hai falak had se hai suntaa unchaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil