SHAWORDS

husn is sham'-ru kaa hai gul-rang — Mirza Daood Beg

"husn is sham'-ru kaa hai gul-rang kyuun na bulbul jale misaal-e-patang khatt-e-shab-rang us pari-ru kaa dekh aayaa hai aarsi par zang us ke naazuk badan mein hue nihaan pahne gar vo sanam qabaa-e-tang dekh majnun ne bas kahaa mujh kuun is qadar maarte hain tiflaan sang saaqiyaa jaam mai suun kar sarshaar mujh kuun darkaar niin hai naam-o-nang ghair gardish ke pahunchtaa nahin rizq shaahid us par hai aasiyaa kaa sang yak qadam raah-e-dost hai 'daaud' lekin afsos paa-e-bakht hai lang"
Urdu

حسن اس شمع رو کا ہے گل رنگ کیوں نہ بلبل جلے مثال پتنگ خط شب رنگ اس پری رو کا دیکھ آیا ہے آرسی پر زنگ اس کے نازک بدن میں ہوئے نہاں پہنے گر وو صنم قبائے تنگ دیکھ مجنوں نے بس کہا مجھ کوں اس قدر مارتے ہیں طفلاں سنگ ساقیا جام مے سوں کر سرشار مجھ کوں درکار نیں ہے نام و ننگ غیر گردش کے پہنچتا نہیں رزق شاہد اس پر ہے آسیا کا سنگ یک قدم راہ دوست ہے داؤدؔ لیکن افسوس پائے بخت ہے لنگ

Hindi

हुस्न इस शम'-रू का है गुल-रंग क्यूँ न बुलबुल जले मिसाल-ए-पतंग ख़त्त-ए-शब-रंग उस परी-रू का देख आया है आरसी पर ज़ंग उस के नाज़ुक बदन में हुए निहाँ पहने गर वो सनम क़बा-ए-तंग देख मजनूँ ने बस कहा मुझ कूँ इस क़दर मारते हैं तिफ़्लाँ संग साक़िया जाम मय सूँ कर सरशार मुझ कूँ दरकार नीं है नाम-ओ-नंग ग़ैर गर्दिश के पहुँचता नहीं रिज़्क़ शाहिद उस पर है आसिया का सँग यक क़दम राह-ए-दोस्त है 'दाऊद' लेकिन अफ़सोस पा-ए-बख़्त है लंग

husn is sham'-rū kā hai gul-rañg
M
Mirza Daood Beg
Mirza Daood Beg
poet38 quotes

More by Mirza Daood Beg

View all →
Quote
"jag hai mushtaaq piv ke darshan kaa kis kuun niin ehtiyaaj darpan kaa saaf dil hai jo aarsi maanind nit hai hairaan jamaal-e-raushan kaa garche honaa hai aib-poshi jahaan kasb kar ikhtiyaar sozan kaa kyuun na hue aashiqi mein khauf raqib har safar mein khatar hai rahzan kaa zohd-e-zaahid hai khauf-e-mahshar suun taab naamard kuun kahaan ran kaa khaak ho yaar ki gali mat chhoD garche kuchh muddaaa hai daaman kaa sabr kar hijr mein tuun ai 'daaud' dekhnaa hai agar sirijan kaa"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"jo baada mohabbat kaa tiri nosh kiyaa hai yak baar vo aalam kuun faraamosh kiyaa hai ai saaqi-e-badmast mai-e-ishq ne teri le hosh mujhe hosh suun behosh kiyaa hai tujh bar mein sajan jalva-numaa surkh qabaa dekh khun-e-dil-e-ushshaaq ne phir josh kiyaa hai jis din suun mire bar mein vo gul-pairahan aaya us din suun mujh aaghosh ko gul-posh kiyaa hai simin-badan aaghosh mein dastaa hai miri yuun jiyon maah kuun haale ne ham-aaghosh kiyaa hai paayaa hai mujhe sarv-qad-e-yaar kaa maail mere sukhan-e-raast kuun jo gosh kiyaa hai 'daaud' taajjub hai ki vo yaar-e-vafaadaar yak-baargi aashiq kuun faraamosh kiyaa hai"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"gulshan-e-jag mein zaraa rang-e-mohabbat niin hai bulbul-e-dil kuun kisi saath ab ulfat niin hai aashnaai seti mardum ke huun az bas bezaar rukh-e-darpan ki taraf chashm kuun raghbat niin hai kyaa ajab hai jo diyaa jaan ko yakbaar patang taa-sahar shama kuun jalne seti fursat niin hai kyuun garebaan kuun kiyaa chaak zi-sar-taa-daamaan gul kuun bulbul suun agar tarz-e-muravvat niin hai mujh kuun baavar nahin paighaam-e-zabaani qaasid kyaa sabab hai ki tire haath kitaabat niin hai muntakhab kar ke varaq dil pe likhe hain ahbaab garche zaahir mein mire sher ki shohrat niin hai naa-tavaani sati barjaa hai alaamat na karo rang-e-'daaud' kuun parvaaz ki taaqat niin hai"
M
Mirza Daood Beg

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb