"jo baada mohabbat kaa tiri nosh kiyaa hai yak baar vo aalam kuun faraamosh kiyaa hai ai saaqi-e-badmast mai-e-ishq ne teri le hosh mujhe hosh suun behosh kiyaa hai tujh bar mein sajan jalva-numaa surkh qabaa dekh khun-e-dil-e-ushshaaq ne phir josh kiyaa hai jis din suun mire bar mein vo gul-pairahan aaya us din suun mujh aaghosh ko gul-posh kiyaa hai simin-badan aaghosh mein dastaa hai miri yuun jiyon maah kuun haale ne ham-aaghosh kiyaa hai paayaa hai mujhe sarv-qad-e-yaar kaa maail mere sukhan-e-raast kuun jo gosh kiyaa hai 'daaud' taajjub hai ki vo yaar-e-vafaadaar yak-baargi aashiq kuun faraamosh kiyaa hai"
jag hai mushtaaq piv ke darshan kaa — Mirza Daood Beg
"jag hai mushtaaq piv ke darshan kaa kis kuun niin ehtiyaaj darpan kaa saaf dil hai jo aarsi maanind nit hai hairaan jamaal-e-raushan kaa garche honaa hai aib-poshi jahaan kasb kar ikhtiyaar sozan kaa kyuun na hue aashiqi mein khauf raqib har safar mein khatar hai rahzan kaa zohd-e-zaahid hai khauf-e-mahshar suun taab naamard kuun kahaan ran kaa khaak ho yaar ki gali mat chhoD garche kuchh muddaaa hai daaman kaa sabr kar hijr mein tuun ai 'daaud' dekhnaa hai agar sirijan kaa"
جگ ہے مشتاق پیو کے درشن کا کس کوں نیں احتیاج درپن کا صاف دل ہے جو آرسی مانند نت ہے حیراں جمال روشن کا گرچہ ہونا ہے عیب پوشی جہاں کسب کر اختیار سوزن کا کیوں نہ ہوئے عاشقی میں خوف رقیب ہر سفر میں خطر ہے رہزن کا زہد زاہد ہے خوف محشر سوں تاب نامرد کوں کہاں رن کا خاک ہو یار کی گلی مت چھوڑ گرچہ کچھ مدعا ہے دامن کا صبر کر ہجر میں توں اے داؤدؔ دیکھنا ہے اگر سریجن کا
जग है मुश्ताक़ पिव के दर्शन का किस कूँ नीं एहतियाज दर्पन का साफ़ दिल है जो आरसी मानिंद नित है हैराँ जमाल-ए-रौशन का गरचे होना है ऐब-पोशी जहाँ कस्ब कर इख़्तियार सोज़न का क्यूँ न हुए आशिक़ी में ख़ौफ़ रक़ीब हर सफ़र में ख़तर है रहज़न का ज़ोहद-ए-ज़ाहिद है ख़ौफ़-ए-महशर सूँ ताब नामर्द कूँ कहाँ रन का ख़ाक हो यार की गली मत छोड़ गरचे कुछ मुद्दआ है दामन का सब्र कर हिज्र में तूँ ऐ 'दाऊद' देखना है अगर सिरीजन का
More by Mirza Daood Beg
View all →"gulshan-e-jag mein zaraa rang-e-mohabbat niin hai bulbul-e-dil kuun kisi saath ab ulfat niin hai aashnaai seti mardum ke huun az bas bezaar rukh-e-darpan ki taraf chashm kuun raghbat niin hai kyaa ajab hai jo diyaa jaan ko yakbaar patang taa-sahar shama kuun jalne seti fursat niin hai kyuun garebaan kuun kiyaa chaak zi-sar-taa-daamaan gul kuun bulbul suun agar tarz-e-muravvat niin hai mujh kuun baavar nahin paighaam-e-zabaani qaasid kyaa sabab hai ki tire haath kitaabat niin hai muntakhab kar ke varaq dil pe likhe hain ahbaab garche zaahir mein mire sher ki shohrat niin hai naa-tavaani sati barjaa hai alaamat na karo rang-e-'daaud' kuun parvaaz ki taaqat niin hai"
"dekh laTkaa sajan teri laT kaa us ki har mu-ba-mu mein dil aTkaa aab-e-tegh-e-nigah ke pyaase kuun kam-nigaahi kaa maar mat phaTkaa ghamza teraa ajab sipaahi hai jis ki dahshat suun bul-havas saTkaa ishq kaa zahr us suun kyuun tere naag tujh zulf kaa jise chaTkaa mustaid hain tere yu mardum-e-chashm mujh ko abru kaa maarne saT kaa hosh 'daaud' kaa huaa laT-paT dekh kar teri naaz kaa laTkaa"
"fariyaad sadaa-e-nafas aavaaz-e-jaras hai kyaa qaafila-e-umr kuun chalne kaa havas hai jo saaf-dil hai us mein kudurat kaa asar niin har-chand agar dushman-e-aaina nafas hai letaa huun apas madrasa-e-dil mein sabaq main us shokh murdarris kaa vahaan jab suun daras hai yak lamha na ho mujh suun judaa ai mah-e-taabaan har aan tire hijr kaa mujh haq mein baras hai 'daaud' na kar pursish-e-mahshar sati kuchh khauf vaan aal-e-mohammad ki shafaaat tujhe bas hai"
"jab vo mah-e-rukhsaar yakaayak nazar aayaa us maah ki talat suun suraj dil mein dar aayaa tere rukh-e-raushan kuun siyah khat mein sirijan dekhaa so kahaa abr-e-siyah mein qamar aayaa gulshan mein chal ai sarv-e-sahi sair ki khaatir tujh vaaste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aayaa tujh jaam-e-nayan mein hai ajab baada-e-sarshaar yak diid sati jis ke ho dil be-khabar aayaa muhtaaj-e-kabutar nahin mujh shauq kaa naama qaasid ho miraa dil le sajan ki khabar aayaa kahte hain sab ahl-e-sukhan is sher kuun sun kar tujh taba mein 'daaud' 'vali' kaa asar aayaa"
"'ishq ne tujh khaal ke mujh kuun khayaali kiyaa dil kuun khayaalaat suun ghair ke khaali kiyaa fikr pahunchti nahin misra-e-saani kahun haq ne tere qad ke taiin misra-e-aali kiyaa hijr mein jaagir-e-aish-e-majnun hui thi taghayyur vasl ke divaan ne phir ke bahaali kiyaa gulshan-e-ishrat kaa vo kyuun na nazaara kare tujh chaman-e-husn kaa dil kuun jo maali kiyaa bosa use de javaab yu hai jo ab savaab tujh ange 'daaud' ne lab kuun savaali kiyaa"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"