SHAWORDS

musibat jis se zaail ho rahi saamaan kar degaa — Shad Azimabadi

HomeShad AzimabadiGhazal
"musibat jis se zaail ho rahi saamaan kar degaa na ghabraanaa khudaa sab mushkilein aasaan kar degaa kharaabaat-e-jahaan mein kaun hai dil-soz saaqi saa agar tarchhaT bhi denaa hai to tujh ko chhaan kar degaa qanaaat ki bhi daulat ho to istighnaa nahin laazim jise tu nafa samjhaa hai yahi nuqsaan kar degaa jagah dil mein na de shauq-e-numu-daari buri shai hai yahi chaskaa tujhe barbaad ai naadaan kar degaa kahungaa aaj se main saahib-e-ejaaz naaseh ko agar mere dil-e-muztar kaa itminaan kar degaa tamannaaon ki mehmaani tasavvur ke havaale kar ki jo saamaan munaasib hai vahi saamaan kar degaa mataa-e-be-bahaa se kam na jaan ai chashm ashkon ko yahi ronaa tiraa khaali tiri dukaan kar degaa koi gar saltanat bhi de to vaapas kar na le ai dil subuk har tarf tujh ko ghair kaa ehsaan kar degaa kahe detaa huun qaatil le khabar jaan-baaz ki apne fanaa shauq-e-shahaadat mein kisi din jaan kar degaa tiri ru-poshiyaan ai husn kab be-kaar jaaeingi yahi parda ayaan aalam mein teri shaan kar degaa yaqin kar le ki khud vo jalva-gar parde mein hai varna yahi zaalim gumaan teraa tujhe hairaan kar degaa ghazal se kyaa muraad ai 'shaad' hai arbaab-e-maani ki kisi din tasfiya us kaa miraa divaan kar degaa"
Urdu

مصیبت جس سے زائل ہو رہی سامان کر دے گا نہ گھبرانا خدا سب مشکلیں آسان کر دے گا خرابات جہاں میں کون ہے دل سوز ساقی سا اگر ترچھٹ بھی دینا ہے تو تجھ کو چھان کر دے گا قناعت کی بھی دولت ہو تو استغنا نہیں لازم جسے تو نفع سمجھا ہے یہی نقصان کر دے گا جگہ دل میں نہ دے شوق نموداری بری شے ہے یہی چسکا تجھے برباد اے نادان کر دے گا کہوں گا آج سے میں صاحب اعجاز ناصح کو اگر میرے دل مضطر کا اطمینان کر دے گا تمناؤں کی مہمانی تصور کے حوالے کر کہ جو ساماں مناسب ہے وہی سامان کر دے گا متاع بے بہا سے کم نہ جان اے چشم اشکوں کو یہی رونا ترا خالی تری دوکان کر دے گا کوئی گر سلطنت بھی دے تو واپس کر نہ لے اے دل سبک ہر طرف تجھ کو غیر کا احسان کر دے گا کہے دیتا ہوں قاتل لے خبر جاں باز کی اپنے فنا شوق شہادت میں کسی دن جان کر دے گا تری رو پوشیاں اے حسن کب بیکار جائیں گی یہی پردہ عیاں عالم میں تیری شان کر دے گا یقیں کر لے کہ خود وہ جلوہ گر پردے میں ہے ورنہ یہی ظالم گماں تیرا تجھے حیران کر دے گا غزل سے کیا مراد اے شادؔ ہے ارباب معنی کی کسی دن تصفیہ اس کا مرا دیوان کر دے گا

Hindi

मुसीबत जिस से ज़ाइल हो रही सामान कर देगा न घबराना ख़ुदा सब मुश्किलें आसान कर देगा ख़राबात-ए-जहाँ में कौन है दिल-सोज़ साक़ी सा अगर तरछट भी देना है तो तुझ को छान कर देगा क़नाअत की भी दौलत हो तो इस्तिग़्ना नहीं लाज़िम जिसे तू नफ़अ' समझा है यही नुक़सान कर देगा जगह दिल में न दे शौक़-ए-नुमू-दारी बुरी शय है यही चसका तुझे बर्बाद ऐ नादान कर देगा कहूँगा आज से मैं साहिब-ए-एजाज़ नासेह को अगर मेरे दिल-ए-मुज़्तर का इत्मीनान कर देगा तमन्नाओं की मेहमानी तसव्वुर के हवाले कर कि जो सामाँ मुनासिब है वही सामान कर देगा मता-ए-बे-बहा से कम न जान ऐ चश्म अश्कों को यही रोना तिरा ख़ाली तिरी दूकान कर देगा कोई गर सल्तनत भी दे तो वापस कर न ले ऐ दिल सुबुक हर तर्फ़ तुझ को ग़ैर का एहसान कर देगा कहे देता हूँ क़ातिल ले ख़बर जाँ-बाज़ की अपने फ़ना शौक़-ए-शहादत में किसी दिन जान कर देगा तिरी रू-पोशियाँ ऐ हुस्न कब बे-कार जाएँगी यही पर्दा अयाँ आलम में तेरी शान कर देगा यक़ीं कर ले कि ख़ुद वो जल्वा-गर पर्दे में है वर्ना यही ज़ालिम गुमाँ तेरा तुझे हैरान कर देगा ग़ज़ल से क्या मुराद ऐ 'शाद' है अर्बाब-ए-मा'नी की किसी दिन तसफ़िया उस का मिरा दीवान कर देगा

musībat jis se zaa.il ho rahī sāmān kar degā
Shad Azimabadi
Shad Azimabadi
Shad Azimabadi
poet82 quotes

More by Shad Azimabadi

View all →
Quote
"tamaam umr namak-khvaar the zamin ke ham vafaa sarisht mein thi ho rahe yahin ke ham nikal ke ruuh DanvaaDol ho na jaae kahin hazaar haif na duniyaa ke hain na diin ke ham nazar uThaa ke na dekhaa kisi taraf taa-umr rahe khayaal mein ik chashm-e-surma-gin ke ham zamin chhuDaai gai ham se jab banaa kar khaak yahaan pe kyaa na rahe ai sabaa kahin ke ham yahaan makaan hai to kyuun aasmaan ki sair karein makin hain 'shaad' azal se isi zamin ke ham zamaana 'shaad' hamein kyuun bhulaa nahin detaa na haju ke na sazaa-vaar aafrin ke ham"
Shad AzimabadiShad Azimabadi
Quote
"kisi ko kyaa khabar ai subh vaqt-e-shaam kyaa hogaa khudaa jaane tire aaghaaz kaa anjaam kyaa hogaa giraftaaraan-e-gesu par nahin kuchh munhasir naaseh phansaa hai jo taalluq mein use aaraam kyaa hogaa abas hai zaahidon ko mai-kashi mein uzr-e-naadaari guru rakh lein usi ko jaama-e-ehraam kyaa hogaa vahi rah rah ke ghabraanaa vahi naa-kaar-gar aahein sivaa is baat ke tujh se dil-e-naakaam kyaa hogaa use bhi jald uThaa kar taaq-e-nisyaan ke havaale kar nahin pesh-e-nazar jab khatm to saaqi jaam kyaa hogaa yahi TuuTe subu miTTi ke kaafi hain qanaaat kar bilorin jaam-e-mai ai rind dard-aashaam kyaa hogaa taqarrub jin ko hai un ko bhi yak-guna hai maayusi ye haalat hai to phir didaar teraa aam kyaa hogaa na puchho muftiyaan-e-shara kaa ahvaal jaane do tanaffur kufr ko jis se ho vo islaam kyaa hogaa sahar furqat ki hai aur ghash pe ghash aate hain aashiq ko abhi se jab ye haalat ho gai taa-shaam kyaa hogaa zaifi mein tu 'shaad' allaahu-akbar pi gayaa khum tak javaani mein kaho ye rind mai-aashaam kyaa hogaa zamaana 'shaad' begaari mein kyuun aakhir phansaataa hai apaahij kar diyaa piiri ne mujh se kaam kyaa hogaa"
Shad AzimabadiShad Azimabadi
Quote
"ye raat bhayaanak hijr ki hai kaaTeinge baDe aalaam se ham Talne ki nahin ye kaali balaa samjhe hue the shaam se ham jab qais pahaaD is sar se Tale iid aai tab aai jaan mein jaan taa der ajab aalam mein rahe honTon ko milaae jaam se ham thaa maut kaa khaTkaa jaan-farsaa sad shukr ki niklaa vo kaanTaa gar ho na qayaamat kaa dhaDkaa ab to hain baDe aaraam se ham taa-manzil-e-jaanaan saath rahaa kam-bakht tasavvur ghairon kaa shauq apne qadam khinchaa hi kiyaa palTaa hi kiye har gaam se ham ulfat ne unhin ki haq ki taraf pheraa mire dil ko shukr-e-khudaa taamir karein masjid koi kyunkar na buton ke naam se ham ai ham-nafaso dam lene do bhule hue naghme yaad aa lein aae hain chaman mein uD ke abhi chhuTe hain isi dam daam se ham baaton mein guzarte hijr ke din ai kaash ki donon mil jaate ham se hai dil-e-naakaam khafaa aazurda dil-e-naakaam se ham yuun un ke adab yaa khaatir se har baat ko le lein apne sar jab dil hai unhin ke qaabu mein phir paak hain har ilzaam se ham vo samjhe ki ham ne maar liyaa ham samjhe mileinge aakhir vo milte hi nigah ke donon khush aaghaaz se vo anjaam se ham duniyaa mein takhallus koi na thaa kyaa niil kaa Tiikaa 'shaad' hi thaa tum vajh na puchho kuchh is ki chiDh jaate hain kyuun is naam se ham"
Shad AzimabadiShad Azimabadi
Quote
"ab intihaa kaa tire zikr mein asar aayaa ki munh se naam liyaa dil mein tu utar aayaa bahut dinon pe miri chashm mein nazar aayaa ai ashk khair to hai tu kidhar kidhar aayaa hazaar shukr ki is dil mein tu nazar aayaa ye naqsha safha-e-khaali pe jald utar aayaa bashar habaab ki surat hamein nazar aayaa bhari jo qatre ke andar havaa ubhar aayaa zabaan pe aataa hai naala bhi sau karishmon se kahaan se aap ke andaaz kaa asar aayaa adam mein aish hai chaltaa huun main bhi le ai dil jahaan mein jitne musibat ke din the bhar aayaa likhe ko roiye ab ta-ba-hashr turbat mein ki mere marne pe khat le ke naama-bar aayaa paDaa hai shab se yuun hi ab talak na li karvaT dil-e-sitam-zada us ki gali se mar aayaa hazaar shukr khudaa kaa yahi ghanimat hai na khair aayaa mire dil ko aur shar aayaa riyaa to dil mein thi maathe pe ab hai us kaa nishaan kahaan kaa daagh kahaan dafatan ubhar aayaa muqim-e-dil hai Danvaan Dol rah ke ab imaan buton ke qahr se chhuTaa khudaa ke ghar aayaa hamaare paa-e-talab ne baDi muhim sar ki ki kaT ke saamne qaatil ke apnaa sar aayaa sharaab pi ke main pahunchaa falak pe ai saaqi kahaan se un kai qatron mein ye asar aayaa vo chaahe bad kahe qaasid buton ko yaa mujh ko haram mein chain se imaan jaa ke dhar aayaa lahad mein shaana hilaa kar ye maut kahti hai le ab to chaunk musaafir ki apne ghar aayaa hazaar shukr huaa aaftaab-e-hashr tulu baDi to laaj rahi ye ki tu nazar aayaa gavaahiyaan huiin aazaa ki hashr mein maqbul vo paak ho gae ilzaam mere sar aayaa hujum-e-gham ne sikhaane ki laakh koshish ki hamein to aah bhi karnaa na umr bhar aayaa jo chand din mein hue zi-kamaal kaun hain 'shaad' hamein to sher kaa kahnaa na umr bhar aayaa usi ko sher samajhte hain 'shaad' ahl-e-mazaaq udhar paDhaa ki dilon mein idhar utar aayaa"
Shad AzimabadiShad Azimabadi
Quote
"main 'shaad' tanhaa ik taraf duniyaa ki duniyaa ik taraf saaraa samundar ik taraf aansu kaa qatra ik taraf us aafat-e-jaan ko bhi chehra to dikhaanaa hi na thaa ik samt iisaa dam-ba-khud ghash mein hai muusaa ik taraf apne samand-e-naaz ko ai shahsavaar aa chheD kar saf-basta haazir kab se hain mahv-e-tamaashaa ik taraf saaqi baghair ahvaal ye pahunchaa hai mai-khaane kaa ab jaam ik taraf hai sar-nigun khaali hai miinaa ik taraf furqat mein sab achchhe rahe dil kaa magar ye haal hai zakhm ik taraf baDhtaa gayaa daagh-e-suvaidaa ik taraf didaar-e-jaanaan kaa bhalaa kyuun kar tahammul ho sake tirchhi nigaahein ek su zulf-e-chalipaa ik taraf vo tegh le ke kahte hain dekhun to haq par kaun hai main ik taraf 'shaad' ik taraf saaraa zamaana ik taraf"
Shad AzimabadiShad Azimabadi
Quote
"jise paalaa thaa ik muddat tak aaghosh-e-tamannaa mein vahi baani huaa mere gham o dard o aziyyat kaa usi ke haath se kyaa kyaa sahaa sahnaa hai kyaa kyaa kuchh ilaahi do jahaan mein munh ho kaalaa is muravvat kaa karein insaaf kaa daavaa asar kuchh bhi na zaahir ho mazaa chakkhaa hai aise doston se bhi mohabbat kaa miTaaein taaki apne zulm karne ki nadaamat ko nikaalein DhunD kar har tarah se pahlu shikaayat kaa hasad ji mein bharaa hai laag hai ik umr se dil mein karein zaahir agar mauqaa hai izhaar-e-adaavat kaa tamaa mein kuchh na samjhein baap aur bhaai ki hurmat ko amal dekho to ye phir kuchh karein daavaa sharaafat kaa miri umr-e-do-roza bekasi ke saath kaTti hai na apnon se na ghairon se milaa samra riyaazat kaa jise dekhaa jise paayaa gharaz kaa apni banda thaa jahaan main ab mazaa baaqi nahin khaalis mohabbat kaa hamaaraa kalba-e-ahzaan hai ham hain yaa kitaabein hain rahaa baaqi na koi ham-nashin ab apni qismat kaa khudaa aabaad rakkhe 'shaad' mere un azizon ko mazaa chakkhvaa diyaa al-qarz-o-miqraaz-ul-mohabbat kaa"
Shad AzimabadiShad Azimabadi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil