SHAWORDS

nipaT ye maajraa yaaro kaDaa hai — Abroo Shah Mubarak

"nipaT ye maajraa yaaro kaDaa hai musaafir dushmanon mein aa paDaa hai raqib apne upar hote hain maghrur ghalat jaanaan hai haq sab siin baDaa hai jo vo bole soi vo boltaa hai raqib ab bhuut ho kar sar chaDhaa hai khudaa haafiz hai mere dil kaa yaaro pathar siin jaa ke ye shisha laDaa hai ba-rang-e-maahi-e-be-aab nas din sajan niin dil hamaaraa taDphaDaa hai raqibaan ki nahin faujaan kaa visvaas udhar siin aashiqaan kaa bhi dhaDaa hai kare kyaa 'aabru' kyunkar milan ho raqibaan ke sanam bas mein paDaa hai"
Urdu

نپٹ یہ ماجرا یارو کڑا ہے مسافر دشمنوں میں آ پڑا ہے رقیب اپنے اوپر ہوتے ہیں مغرور غلط جاناں ہے حق سب سیں بڑا ہے جو وہ بولے سوئی وہ بولتا ہے رقیب اب بھوت ہو کر سر چڑھا ہے خدا حافظ ہے میرے دل کا یارو پتھر سیں جا کے یہ شیشہ لڑا ہے برنگ ماہیٔ بے آب نس دن سجن نیں دل ہمارا تڑپھڑا ہے رقیباں کی نہیں فوجاں کا وسواس ادھر سیں عاشقاں کا بھی دھڑا ہے کرے کیا آبروؔ کیوں کر ملن ہو رقیباں کے صنم بس میں پڑا ہے

Hindi

निपट ये माजरा यारो कड़ा है मुसाफ़िर दुश्मनों में आ पड़ा है रक़ीब अपने उपर होते हैं मग़रूर ग़लत जानाँ है हक़ सब सीं बड़ा है जो वो बोले सोइ वो बोलता है रक़ीब अब भूत हो कर सर चढ़ा है ख़ुदा हाफ़िज़ है मेरे दिल का यारो पथर सीं जा के ये शीशा लड़ा है ब-रंग-ए-माही-ए-बे-आब नस दिन सजन नीं दिल हमारा तड़फड़ा है रक़ीबाँ की नहीं फ़ौजाँ का विसवास उधर सीं आशिक़ाँ का भी धड़ा है करे क्या 'आबरू' क्यूँकर मिलन हो रक़ीबाँ के सनम बस में पड़ा है

nipaT ye mājrā yaaro kaḌā hai
Abroo Shah Mubarak
Abroo Shah Mubarak
Abroo Shah Mubarak
poet150 quotes

More by Abroo Shah Mubarak

View all →
Quote
"dil hai tire pyaar karne kuun ji hai tujh par nisaar karne kuun ik lahr lutf ki hamein bas hai gham ke dariyaa suun paar karne kuun chashm meri hai abr-e-nisaani girya-e-zaar-zaar karne kuun chashm niin anjhuvaan ki basti ki zulm teraa shumaar karne kuun rashk siin jab koi chhue vo zulf dil uThe maar maar karne kuun is adaa suun laTak laTak mat aa dil miraa be-qaraar karne kuun naanv kuun garche tu mamulaa hai baaz hai dil shikaar karne kuun kyaa karun kis se jaa lagaaun ghaat 'aabru' us ke yaar karne kuun"
Abroo Shah MubarakAbroo Shah Mubarak
Quote
"kyuun band sab khule hain kyuun chiraa laT paTaa hai kyaa qatl kuun hamaare ab ThaaTh yuun ThaThaa hai is vaqt mein pyaare ham kuun sharaab diije dekho to kyaa huaa hai rijho to kyaa ghaTaa hai birhan ke nain ro ro jogi baran hue hain kaajar bhabhut anjho maalaa palak jaTaa hai khvaah laaThiyon siin maaro khvaah khaak mein lathaaDo 'aashiq kaa dil piyaare chaugaan kaa baTaa hai lab kuun ankhiyon kuun mukh kuun bar kuun kamar kuun qad kuun in sab ko chaahtaa hai TukDe ho dil baTaa hai saamaan-e-'aish ham kuun asbaab-e-gham hue hain khun-e-jigar hai sahbaa bakht-e-siyah ghaTaa hai kyaa rang hai tumhaare rukhsaar kaa sirijan jis par nazar kare siin gul kaa jigar phaTaa hai 'aashiq ki 'aabru' hai khvaari mein jaan denaa naamard vo kahaave jo 'ishq siin haTaa hai"
Abroo Shah MubarakAbroo Shah Mubarak
Quote
"nahin ghar mein falak ke dil-kushaai kahaan hoti hai yahaan meri samaai kare jo bandagi so ho gunahgaar nyaari hai yahaan ki kuchh khudaai zabah karne kuun naahaq be-kason ke bataa teri kamar ye kin kasaai tum apni baat ke raajaa ho pyaare kahin siin zid tumhein ho hai sivaai chaman kuun jiit aae naaz bu jab tumhaare sabza-e-khat niin haraai sapidi qand ki phiki lagi jab tumhaare rang ki dekhi giraai bahaa khun-e-jigar ankhiyon sein pal pal sajan bin raat ham kuun yuun bahaai nahin Tikne kaa paanv 'aabru' kaa gali ki raah us ke haat aai"
Abroo Shah MubarakAbroo Shah Mubarak
Quote
"jaal mein jis ke shauq aai hai us ke dil kuun taDaph kamaahi hai jag ke khubaan hain tujh pe sab maftun tan mein yusuf bhi ek chaahi hai daagh siin kyuun na dil ujaalaa ho chashm ki raushni siyaahi hai ab talak khinch khinch jaur-o-jafaa har tarah dosti nibaahi hai taur kyaa puchhte ho kaafir kaa shokh hai baankha hai sipaahi hai haath mein kahrubaa ki simran dekh rang aashiq kaa aaj kaahi hai haal aashiq kaa kyaa bayaan kiije khvaar hai khasta hai tabaahi hai 'aabru' kyuun na ho rahe khaamosh dard kahne ki yaan manaahi hai"
Abroo Shah MubarakAbroo Shah Mubarak

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil