SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAfzal Minhas(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

gum-sum havaa ke peD se lipTaa huaa huun mein

katbe pe apne haath se likkhaa huaa huun main

aankhon mein vasvason ki nai niind bas gai

so jaaun ek umr se jaagaa huaa huun main

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

har chand zindagi kaa safar mushkilon mein hai

insaan kaa aks phir bhi kai aainon mein hai

tahzib ko talaash na kar shahr shahr mein

tahzib khanDaron mein hai kuchh pattharon mein hai

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

us peD ko chhuaa to samar-daar ho gayaa

phir jaane kyaa huaa vo sharar-baar ho gayaa

mausam ki bhuul thi ki miri dastaras ki baat

patthar se ek phuul numudaar ho gayaa

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

log hansne ke liye rote hain aksar dahr mein

talkhiyaan khud hi milaa lete hain miThe zahr mein

pyaar ke chashmon kaa paani jab se khaaraa ho gayaa

saari duniyaa ghir gai hai nafraton ke qahr mein

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

miTte hue nuqush-e-vafaa ko ubhaariye

chehron pe jo sajaa hai mulammaa utaariye

milnaa agar nahin hai to zakhmon se faaeda

chhup kar mujhe khayaal ke patthar na maariye

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

chup rahe to shahr ki hangaama aaraai mili

ab agar khole to ham ko qaid-e-tanhaai mili

zindagi ki zulmatein apne lahu mein rach gaiin

tab kahin jaa kar hamein aankhon ki binaai mili

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

jo shakhs bhi milaa hai vo ik zinda laash hai

insaan ki daastaan baDi dil-kharaash hai

daaman darida qalb-o-nazar zakhm zakhm hain

ab shahr-e-aarzu mein yahi bud-o-baash hai

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

gahraa sukut zehn ko behaal kar gayaa

sochon ke phuul phuul ko paamaal kar gayaa

suraj ne apni aanch ko vaapas bulaa liyaa

lekin mire lahu ko vo sayyaal kar gayaa

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

apne maahaul se kuchh yuun bhi to ghabraae na the

sang lipTe hue phulon mein nazar aae na the

dard zanjir ki surat hai dilon mein maujud

is se pahle to kabhi us ke ye pairaae na the

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

karb ke shahr se nikle to ye manzar dekhaa

ham ko logon ne bulaayaa hamein chhu kar dekhaa

vo jo barsaat mein bhigaa to nigaahein uTThin

yuun lagaa hai koi turshaa huaa patthar dekhaa

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

taDap rahaa thaa main jis dard-e-laa-davaa ke liye

vo mil gayaa hai magar chhin le khudaa ke liye

main buund buund Tapaktaa huun apne honTon par

chalaa thaa le ke ye sarmaaya karbalaa ke liye

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

mujhe batlaaiye ab kaun si jiine ki surat hai

zamaana is ghane jangal mein ik chite ki surat hai

bikharte jism le kar tund tufaanon mein baiThe hain

koi zarre ki surat hai koi Tiile ki surat hai

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

gir paDaa tu aakhiri ziine ko chhu kar kis liye

aa gayaa phir aasmaanon se zamin par kis liye

aaina-khaanon mein chhup kar rahne vaale aur hain

tum ne haathon mein uThaa rakkhe hain patthar kis liye

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

main apne dil mein nai khvaahishein sajaae hue

khaDaa huaa huun havaa mein qadam jamaae hue

nae jahaan ki tamannaa mein ghar se niklaa huun

hatheliyon pe nai mishalein jalaae hue

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

kaanch ki zanjir TuuTi to sadaa bhi aaegi

aur bhare baazaar mein tujh ko hayaa bhi aaegi

itr mein kapDe basaa kar mutmain hai kis liye

baa-vafaa hu jaa ki yuun bu-e-vafaa bhi aaegi

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

main faqat is jurm mein duniyaa mein rusvaa ho gayaa

main ne jis chehre ko dekhaa tere jaisaa ho gayaa

chaand mein kaise nazar aae tiri surat mujhe

aandhiyon se aasmaan kaa rang mailaa ho gayaa

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

sau haath uThe karb ki khushbu ko churaane

kyaa zakhm lagaae hain mire tan pe havaa ne

raste mein koi peD jo mil jaae to baiThun

vo baar uThaayaa hai ki dikhne lage shaane

· · ·

GhazalAfzal Minhas

Afzal Minhas

ek paikar yuun chamak uTThaa hai mere dhyaan mein

koi jugnu uD rahaa ho jis tarah tufaan mein

har bagula bastiyon ki samt lahraane lagaa

aashnaa chehre bhi ab aate nahin pahchaan mein

· · ·