Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Anjum Ludhianvi
vo jab apne lab kholein
shahd fazaaon mein gholein
aap ke bhi ho jaaeinge ham
pahle apne to ho lein
· · ·
Anjum Ludhianvi
toD kaDiyaan zamir ki 'anjum'
aur kuch der to bhi ji 'anjum'
ek bhi gaam chal na paaegi
in andheron mein raushni 'anjum'
· · ·
Anjum Ludhianvi
pal bhar use rulaa kar dekh
saaraa din pachhtaa kar dekh
patthar-dil thoDaa hai vo
baanhein to phailaa kar dekh
· · ·
Anjum Ludhianvi
vasl ki raat vo tanhaa hogaa
us pe haalaat kaa pahra hogaa
niind kyuun TuuT gai aakhir-e-shab
kaun mere liye taDpaa hogaa
· · ·
Anjum Ludhianvi
hazaaron saal chalne ki sazaa hai
bataa ai vaqt teraa jurm kyaa hai
ujaalaa kaam par hai pau phaTe se
andheraa chain se soyaa huaa hai
· · ·
Anjum Ludhianvi
ham saa divaana kahaan mil paaegaa is dahr mein
ghar kiyaa taa'mir jis ne dimakon ke shahr mein
khud-kushi karne mein bhi naakaam rah jaate hain ham
kaun amrit ghol detaa hai hamaare zahr mein
· · ·
Anjum Ludhianvi
pyaar mein taanaa-baanaa chaltaa rahtaa hai
ruThnaa aur manaanaa chaltaa rahtaa hai
vaade aur iraade TuuTe rahte hain
piinaa aur pilaanaa chaltaa rahtaa hai
· · ·
Anjum Ludhianvi
kaanTon mein jo phuul khilaa hai
jab dekho hanstaa rahtaa hai
Daali par ik piilaa patta
jaane kyaa gintaa rahtaa hai
· · ·
Anjum Ludhianvi
jaane kis ki aahaT kaa intizaar kartaa hai
TuuT to chukaa hai vo dekho kab bikhartaa hai
zakhm chaahe jaisaa ho ek din to bhartaa hai
aap soe hote hain vaqt kaam kartaa hai
· · ·
Anjum Ludhianvi
khoyaa khoyaa rahtaa hai
jaane kyaa kar baiThaa hai
basti mein ik phuul khilaa
mahlon mahlon charchaa hai
· · ·
Anjum Ludhianvi
aankhon mein tufaan bahut hai
baarish kaa imkaan bahut hai
raah-e-vafaa par chalne vaale
ye rasta viraan bahut hai
· · ·
Anjum Ludhianvi
khud se milnaa milaanaa bhuul gae
log apnaa Thikaanaa bhuul gae
rang hi se fareb khaate rahein
khushbuein aazmaanaa bhuul gae
· · ·
Anjum Ludhianvi
ik jhalak teri jo paai hogi
chaand ne iid manaai hogi
subh dam us ko rulaa aayaa huun
saaraa din khud se laDaai hogi
· · ·







