Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Basit Bhopali
mohabbat ki intihaa chaahtaa huun
unhein haasil-e-ibtidaa chaahtaa huun
use barmalaa dekhnaa chaahtaa huun
adab ai mohabbat ye kyaa chaahtaa huun
· · ·
Basit Bhopali
hayaat-o-maut kaa ik silsilaa hai
mohabbat intihaa tak ibtidaa hai
main kyaa jaanun ki baab-e-tauba kyaa hai
abhi to mai-kade kaa dar khulaa hai
· · ·
Basit Bhopali
pi rahaa huun ki haqiqat ye faraamosh nahin
ahl-e-dil ke liye ik haadisa hai hosh nahin
nigah-o-dil se mire bach ke samaa jaa mujh mein
main khud aaghosh huun meraa koi aaghosh nahin
· · ·
Basit Bhopali
muddaaa koi apnaa na paayaa
jab duaa ke liye haath uThaayaa
us mein apnaa hi sab aks paayaa
un ke chehre pe jo rang aaya
· · ·
Basit Bhopali
nahin ye jalva-haa-e-raaz-e-irfaan dekhne vaale
tumhein kab dekhte hain kufr-o-imaan dekhne vaale
khudaa rakkhe tire gham kaa bahut naazuk zamaana hai
sahar dekhein na dekhein shaam-e-hijraan dekhne vaale
· · ·
Basit Bhopali
na furqat ne luuTaa na aahon ne maaraa
mohabbat bhare ishtibaahon ne maaraa
mire dil ko un ki nigaahon ne maaraa
inhin do mohabbat-panaahon ne maaraa
· · ·
Basit Bhopali
har taraf soz kaa andaaz judaagaana hai
mutmain shama hai yaa raqs mein parvaana hai
bartar-az-vahm-o-tasavvur miraa mai-khaana hai
zindagi kyaa hai miri laghzish-e-mastaana hai
· · ·
Basit Bhopali
zabt-e-gham kar bhi liyaa to kyaa kiyaa
dil ki rag rag se lahu Tapkaa kiyaa
har tajalli aap ki tasviri thi
is liye main har taraf dekhaa kiyaa
· · ·
Basit Bhopali
shauq ko be-adab kiyaa ishq ko hausla diyaa
uzr-e-nigaah-e-dost ne jurm-e-nazar sikhaa diyaa
aah vo bad-nasib aah naala-e-andalib-e-aah
meraa fasaana-e-alam jaise mujhe sunaa diyaa
· · ·
Basit Bhopali
vaaraftagi-e-ishq na jaae to kyaa karein
teraa bhi ab khayaal na aae to kyaa karein
khud sharm-e-ishq dil ko miTaae to kyaa karein
un tak nigaah-e-shauq na jaae to kyaa karein
· · ·
Basit Bhopali
ishq-e-sitam-parast kyaa husn-e-sitam-shi'aar kyaa
ham bhi unhin ke hain to phir apnaa bhi e'tibaar kyaa
ishrat-e-zist ki qasam ishrat-e-mustaaar kyaa
gham bhi jo mustaqil na ho gham kaa bhi e'tibaar kyaa
· · ·
Basit Bhopali
ab na taDpaae fareb-e-gham-e-hijraan mujh ko
nazar aate hain vo rag rag mein khiraamaan mujh ko
jaan kar us ne charaagh-e-shab-e-hijraan mujh ko
kar diyaa subh-e-azal hi se farozaan mujh ko
· · ·
Basit Bhopali
divaana apnaa kaun saa aalam dikhaa gayaa
un ke labon pe ek tabassum saa aa gayaa
muddat se zindagi mein nahin koi inqalaab
shaayad tiraa firaaq mujhe raas aa gayaa
· · ·
Basit Bhopali
miri iltijaa se khafaa na ho ki vo josh-e-dil thaa gila na thaa
kabhi ranj main ne sahaa na thaa kabhi dil kisi ko diyaa na thaa
mire haathon mujh ko alam mile ye main kyon kahun ki khudaa na thaa
miraa kaaba thaa haram-e-butaan miraa qibla qibla-numaa na thaa
· · ·
Basit Bhopali
miT gae ham muddaaa-e-ishq haasil ho gayaa
ye fasaana apni be-rabti se kaamil ho gayaa
un kaa barbaad-e-karam kahne ke qaabil ho gayaa
dil haqiqat mein jahaan TuuTaa vahin dil ho gayaa
· · ·
Basit Bhopali
sab kaaenaat-e-husn kaa haasil liye hue
baiThaa huun dil mein ishq ki mahfil liye hue
ik ik nazar farebi-e-saahil liye hue
har mauj saamne hai miraa dil liye hue
· · ·
Basit Bhopali
abhi yaa-rab bahut kuchh vusatein hain mere daamaan mein
chaman kaa kaanTaa kaanTaa khinch ke aa jaae bayaabaan mein
mire mazhab pe rashk-afroziyaan hain kufr-o-imaan mein
ilaahi kyaa kashish rakh di jabin-e-ijz-saamaan mein
· · ·
Basit Bhopali
mere rone par kisi ki chashm giryaan haae haae
vo gul-e-tar vo fazaa-e-shabnamistaan haae haae
vo kisi ki yaad-e-paiham shaam-e-hijraan haae haae
har nafas vaqf-e-navaa-haa-e-pareshaan haae haae
· · ·
Basit Bhopali
kuchh sila hi na milaa ishq mein jal jaane kaa
shama ne luuT liyaa soz bhi parvaane kaa
zabt-e-fariyaad ki be-sud tavaqqo dil se
zarf kyuun dekhiye TuuTe hue paimaane kaa
· · ·
Basit Bhopali
jaise bhi ye duniyaa hai jo kuchh bhi zamaanaa hai
sab teri kahaani hai sab meraa fasaanaa hai
ik barq-e-siyah-masti ik shoala-e-mad-hoshi
miinaa se giraanaa hai saaghar se uThaanaa hai
· · ·
Basit Bhopali
koi meayaar-e-mohabbat na rahaa mere baad
har taraf aam hain khaasaan-e-vafaa mere baad
silsila un ke sitam kaa na rahaa mere baad
badlaa badlaa saa hai dastur-e-jafaa mere baad
· · ·
Basit Bhopali
ek markaz pe miraa zauq-e-tamaashaa na rahaa
abhi parda na rahaa thaa abhi jalva na rahaa
jo dikhaae miri ghaflat ne dikhaae manzar
jab khuli aankh to phir koi tamaashaa na rahaa
· · ·
Basit Bhopali
un kaa barbaad-e-karam kahne ke qaabil ho gayaa
dard pahlu mein jahaan bhi thaa vahin dil ho gayaa
baarhaa dekhaa hai dil ne o mire mahv-e-khiraam
hashr uTThaa aur tire qadmon mein shaamil ho gayaa
· · ·
Basit Bhopali
kisi ke naqsh-e-qadam kaa nishaan nahin miltaa
vo rahguzar huun jise kaarvaan nahin miltaa
qadam qadam pe tiri raah mein falak haail
mujhe talaash se bhi aasmaan nahin miltaa
· · ·







