SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFazl Tabish(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

ye sannaaTaa bahut mahngaa paDegaa

ise bhi phuuT kar ronaa paDegaa

vahi do-chaar chehre ajnabi se

unhin ko phir se dohraanaa paDegaa

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

jin khvaabon se niind uD jaae aise khvaab sajaae kaun

ik pal jhuTi taskin paa kar saari raat ganvaae kaun

ye tanhaai ye sannaaTaa dil ko magar samjhaae kaun

itni bhayaanak raat mein aakhir milne vaalaa aae kaun

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

na kar shumaar ki har shai gini nahin jaati

ye zindagi hai hisaabon se ji nahin jaati

ye narm lahja ye rangini-e-bayaan ye khulus

magar laDaai to aise laDi nahin jaati

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

kali kali kaa badan phoD kar jo niklaa hai

vo zindagi kaa nahin maut kaa taqaazaa hai

har ek jhuTaa payambar hai ye bhi Thiik nahin

kahin kahin to magar sab ke saath ghaplaa hai

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

milon ke shahr mein ghaTtaa huaa din sochtaa hogaa

dhuein ko jitne vaalon kaa suraj dusraa hogaa

agar mar kar phir uThnaa hai to marne ki khushi kyaa hai

badan khone kaa gham jiine ki khushiyon se sivaa hogaa

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

har ik darvaaza mujh par band hotaa

andheraa jism mein naakhun hotaa

ye suraj kyuun bhaTaktaa phir rahaa hai

mire andar utar jaataa to sotaa

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

rishta khujiyaayaa huaa kuttaa hai

ek kone mein paTak rakkhaa hai

raat ko khvaab bahut dekhe hain

aaj gham kal se zaraa halkaa hai

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

khvaahishon ke hisaar se niklo

jalti saDkon pe nange paanv phiro

raat ko phir nigal gayaa suraj

shaam tak phir idhar udhar bhaTko

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

use maalum hai main sar-phiraa huun

magar khush hai ki us ko chaahtaa huun

ye basti kab darindon se thi khaali

main phir bhi Thiik logon mein rahaa huun

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

in aaankhon mein bin bole bhi maadar-zaad taqaazaa hai

khvaahish khvaahish bikne vaalaa malbusaati kiiDaa hai

us ke chaaron or phirein kyaa us ke andar utrein kyaa

apne hi andar utarne kaa kyaa kuchh kam pachhtaavaa hai

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

raaton ke khauf din ki udaasi ne kyaa diyaa

saaye ke taur leT ke chalnaa sikhaa diyaa

kamre mein aa ke baiTh gai dhuup mez par

bachchon ne khilkhilaa ke mujhe bhi jagaa diyaa

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

is kamre mein khvaab rakhe the kaun yahaan par aayaa thaa

gum-sum raushan-daano bolo kyaa tum ne kuchh dekhaa thaa

andhe ghar mein har jaanib se bad-ruhon ki yurish thi

bijli jalne se pahle tak vo sab thiin main tanhaa thaa

· · ·

GhazalFazl Tabish

Fazl Tabish

main us ke khvaab mein kab jaa ke dekh paayaa huun

hai aur koi vahaan par ki main hi tanhaa huun

tumhein khabar hai gharondon se khelte bachcho

main tum mein apnaa gayaa vaqt dekh letaa huun

· · ·