Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Munawar Khan Ghafil
ham faqiron kaa sune gar zikr-e-arra faakhta
apni ku-ku par kare hargiz na gharra faakhta
jal ke khaakistar abhi ho jaae tu ik aan mein
gar tire dil mein ho soz-e-ishq zarra faakhta
· · ·
Munawar Khan Ghafil
chashm-e-khunbaar saa barse na kabhu paani ek
abr har chand kare apnaa lahu paani ek
shust-o-shu naama-e-aamaal ki jis se hoe
baras ai abr-e-karam mujh pe vo tu paani ek
· · ·
Munawar Khan Ghafil
har uzv-e-badan ek se hai ek tiraa khuub
siine ki safaai se hai chehre ki safaa khuub
qaasid ke badan par alif-e-zakhm lage hain
khat kaa mire likkhaa ye javaab aap ne kyaa khuub
· · ·
Munawar Khan Ghafil
ye kaun saa parvaana muaa jal ke lagan mein
hairat se jo hai shama ki angusht dahan mein
kahte hain use chaah-e-zanakhdaan ghalati se
bose kaa nishaan hai ye tire seb-e-zaqan mein
· · ·
Munawar Khan Ghafil
shaana to chhuTaa zulf-e-pareshaan se ulajh kar
suljhaa na ye dil kaakul-e-pechaan se ulajh kar
letaa hai khabar kaun asiraan-e-balaa ki
mar mar gae taariki-e-zindaan se ulajh kar
· · ·
Munawar Khan Ghafil
tegh-e-pur-khun vo agar dhoe kanaar-e-dariyaa
khanda-zan rang-e-chaman par ho bahaar-e-dariyaa
atash-e-ishq ki lazzat ye mili hai ham ko
jaa girein aag mein aur hon na dochaar-e-dariyaa
· · ·
Munawar Khan Ghafil
kyunkar ye tuf-e-ashk se mizhgaan mein lagi aag
shabnam se kahin bhi hai niyastaan mein lagi aag
na us se dhuaan nikle hai na shoala uThe hai
ye turfa hamaare dil-e-naalaan mein lagi aag
· · ·
Munawar Khan Ghafil
gil hai aariz to qadd-e-yaar darakht
kab ho aisaa bahaar-daar darakht
rashk se ik nihaal qad ke tire
kaT gae jal gae hazaar darakht
· · ·
Munawar Khan Ghafil
hai kaun shai jis ki zid nahin hai jahaan khushi hai malaal bhi hai
gham-e-judaai na khaa tu ai dil firaaq hai to visaal bhi hai
jo Tiika sandal kaa hai jabin par to paas abru ki khaal bhi hai
siphar-e-khubi ye maah bhi hai sabil bhi hai hilaal bhi hai
· · ·
Munawar Khan Ghafil
kis tarah naala kare bulbul chaman ki yaad mein
ghis gai us ki zabaan to shikva-e-sayyaad mein
daad-khvaahon ki agar pursish hui roz-e-jazaa
sab se pahle aaeinge ham arsa-e-faryaad mein
· · ·
Munawar Khan Ghafil
kisi ke main libaas-e-aariyat ko kyaa samajhtaa huun
phaTe kapDon ko apni khilat-e-dibaa samajhtaa huun
jahaan divaana koi apne saae se ulajhtaa hai
use zulf-e-musalsal kaa tiri saudaa samajhtaa huun
· · ·
Munawar Khan Ghafil
nigaah-e-yaar ham se aaj be-taqsir phirti hai
kisi ki kuchh nahin chalti hai jab taqdir phirti hai
muraqqaa hai miri aankhon mein kyaa yaaraan-e-rafta kaa
jo nazron ke tale har ek ki tasvir phirti hai
· · ·
Munawar Khan Ghafil
vo meraa dard-e-dil kyaa jaante hain
taDapne ko tamaashaa jaante hain
bahaar-e-gul hai khaar aankhon mein tujh bin
chaman ko ham to sahraa jaante hain
· · ·
Munawar Khan Ghafil
har koi us kaa kharidaar huaa chaahtaa hai
garm phir husn kaa baazaar huaa chaahtaa hai
dekh lenaa gham-e-maashuq mein kuDhte kuDhte
kuchh na kuchh ab mujhe aazaar huaa chaahtaa hai
· · ·
Munawar Khan Ghafil
marte dam o bevafaa dekhaa tujhe
ik nazar dekhaa to kyaa dekhaa tujhe
ai pari-ru kyuun na main divaana huun
baal khole baarhaa dekhaa tujhe
· · ·
Munawar Khan Ghafil
na puchh hijr mein jo kuchh huaa hamaaraa haal
jise na ishq ho vo jaane kyaa hamaaraa haal
yaqin hai ki kaheinge vo ham-safiron se
qafas mein dekh gai hai sabaa hamaaraa haal
· · ·
Munawar Khan Ghafil
aa ke sajjaada-nashin qais huaa mere baad
na rahi dasht mein khaali koi jaa mere baad
miyaan mein us ne jo ki tegh-e-jafaa mere baad
khun-girafta koi kyaa aur na thaa mere baad
· · ·







