Shayari
phir se taalif-e-dil ho phir koi
is sahife ki ru-numaai kare
lafzon mein khaali jaghein bhar lene se
baat adhuri, puuri to ho jaati hai
لفظوں میں خالی جگہیں بھر لینے سے
بات ادھوری، پوری تو ہو جاتی ہے
लफ़्ज़ों में ख़ाली जगहें भर लेने से
बात अधूरी, पूरी तो हो जाती है

phir se taalif-e-dil ho phir koi
is sahife ki ru-numaai kare
ishq mein ye majburi to ho jaati hai
duniyaa ghair-zaruri to ho jaati hai
ye hijratein hain zamin o zamaan se aage ki
jo jaa chukaa hai use lauT kar nahin aanaa
dil aur duniyaa donon ko khush rakhne mein
apne-aap se duuri to ho jaati hai
kyaa raat ke aashob mein vo khud se laDaa thaa
aaine ke chehre pe kharaashein si paDi hain
lamha munsif bhi hai mujrim bhi hai majburi kaa
faaeda shak kaa mujhe de ke bari kar jaae