Shayari
main to apni jaan pe khel ke pyaar ki baazi jiit gayaa
qaatil haar gae jo ab tak khuun ke chhinTe dhote hain
tum un ko sazaa kyuun nahin dete ki jinhon ne
mujrim kaa zamir aur sukun luuT liyaa hai
تم ان کو سزا کیوں نہیں دیتے کہ جنہوں نے
مجرم کا ضمیر اور سکوں لوٹ لیا ہے
तुम उन को सज़ा क्यूँ नहीं देते कि जिन्हों ने
मुजरिम का ज़मीर और सुकूँ लूट लिया है

main to apni jaan pe khel ke pyaar ki baazi jiit gayaa
qaatil haar gae jo ab tak khuun ke chhinTe dhote hain
alakh jamaae dhuni ramaae dhyaan lagaae rahte hain
pyaar hamaaraa maslak hai ham prem-guru ke chele hain
apnaa ghar shahr-e-khamoshaan saa hai
kaun aaegaa yahaan shaam Dhale
kaarzaar-e-ishq-o-sar-masti mein nusrat-yaab hon
vo jununi daar tak jaane ko jo betaab huun
har musaafir tire kuche ko chalaa
us taraf chhaanv ghani ho jaise
husn ki daulat us ki hai aur vasl ki ishrat bhi us ki
jis ne pal pal hijr mein kaaTaa jaur sahe dukh jhele hain