Shayari
khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
جس طرف اٹھ گئی ہیں آہیں ہیں
چشم بد دور کیا نگاہیں ہیں
जिस तरफ़ उठ गई हैं आहें हैं
चश्म-ए-बद-दूर क्या निगाहें हैं

khincho na kamaanon ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
aashiqi kaa ho buraa us ne bigaaDe saare kaam
ham to ab mein rahe aghyaar ba ho gae
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasinon ko bhi kitnaa sahl hai bijli giraa denaa