Shayari
jo tum ho to ye kaise maan luun main
ki jo kuchh hai yahaan bas ik gumaan hai
ham to sunte the ki mil jaate hain bichhDe hue log
tu jo bichhDaa hai to kyaa vaqt ne gardish nahin ki
ہم تو سنتے تھے کہ مل جاتے ہیں بچھڑے ہوئے لوگ
تو جو بچھڑا ہے تو کیا وقت نے گردش نہیں کی
हम तो सुनते थे कि मिल जाते हैं बिछड़े हुए लोग
तू जो बिछड़ा है तो क्या वक़्त ने गर्दिश नहीं की

jo tum ho to ye kaise maan luun main
ki jo kuchh hai yahaan bas ik gumaan hai
duniyaa to ham se haath milaane ko aai thi
ham ne hi eatibaar dobaara nahin kiyaa
is aarzi duniyaa mein har baat adhuri hai
har jiit hai laa-haasil har maat adhuri hai
faisla bichhaDne kaa kar liyaa hai jab tum ne
phir miri tamannaa kyaa phir miri ijaazat kyuun
uD gae saare parinde mausamon ki chaah mein
intizaar un kaa magar buDhe shajar karte rahe
taalluq jo bhi rakkho soch lenaa
ki ham rishta nibhaanaa jaante hain