Shayari
zulf-e-mushkin thi mehrbaan kis ki
bu basi hai dimaagh mein ab tak
bachhDaa huaa jaise koi milte hi lipaT jaae
yuun tiir tiraa aa ke lipaTtaa hai jigar se
بچھڑا ہوا جیسے کوئی ملتے ہی لپٹ جائے
یوں تیر ترا آ کے لپٹتا ہے جگر سے
बछड़ा हुआ जैसे कोई मिलते ही लिपट जाए
यूँ तीर तिरा आ के लिपटता है जिगर से

zulf-e-mushkin thi mehrbaan kis ki
bu basi hai dimaagh mein ab tak
vafaa ki aaD mein kyaa kyaa hui jafaa ham par
jo dosti yahi Thahri to dushmani kyaa hai
kis ghalat-fahmi mein apni umr saari kaT gai
ik vafaa-naa-aashnaa ko baa-vafaa samjhaa thaa main
jab dil hi nahin hai pahlu mein phir ishq kaa saudaa kaun kare
ab un se mohabbat kaun kare ab un ki tamannaa kaun kare
na duniyaa baais-e-ghaflat na uqbaa vajh-e-hushyaari
rahe jo tujh se ghaafil ham use ghaafil samajhte hain
isi kaa naam shaayad zindagi hai
khushi ki ik ghaDi to ik ghami ki