Shayari
aaj kuchh mehrbaan hai sayyaad
kyaa nasheman bhi ho gayaa barbaad
qaasid payaam un kaa na kuchh der abhi sunaa
rahne de mahv-e-lazzat-e-zauq-e-khabar mujhe
قاصد پیام ان کا نہ کچھ دیر ابھی سنا
رہنے دے محو لذت ذوق خبر مجھے
क़ासिद पयाम उन का न कुछ देर अभी सुना
रहने दे महव-ए-लज़्ज़त-ए-ज़ौक़-ए-ख़बर मुझे

aaj kuchh mehrbaan hai sayyaad
kyaa nasheman bhi ho gayaa barbaad
karam par bhi hotaa hai dhokaa sitam kaa
yahaan tak alam-aashnaa ho gae ham
baat khote jo iltijaa karte
ai dil-e-naa-muraad kyaa karte
jo sazaa diije hai bajaa mujh ko
tujh se karni na thi vafaa mujh ko
sanaa teri nahin mumkin zabaan se
maaani duur phirte hain bayaan se
palkein ghaneri gopiyon ki Toh liye hue
raadhaa ke jhaankne kaa jharoka ghazab ghazab