Shayari
vaqt aur haalaat par kyaa tabsira kiije ki jab
ek uljhan dusri uljhan ko suljhaane lage
shahr mein jurm-o-havaadis is qadar hain aaj-kal
ab to ghar mein baiTh kar bhi log ghabraane lage
شہر میں جرم و حوادث اس قدر ہیں آج کل
اب تو گھر میں بیٹھ کر بھی لوگ گھبرانے لگے
शहर में जुर्म-ओ-हवादिस इस क़दर हैं आज-कल
अब तो घर में बैठ कर भी लोग घबराने लगे

vaqt aur haalaat par kyaa tabsira kiije ki jab
ek uljhan dusri uljhan ko suljhaane lage
nazar mein shokh shabihein liye hue hai sahar
abhi na koi idhar se dhuaan dhuaan guzre
sochtaa huun to aur baDhti hai
zindagi hai ki pyaas hai koi
apni divaaron se kuchh baahar nikal
sirf khaali ghar ke baam-o-dar na dekh
kyaa usi kaa naam hai raanaai-e-bazm-e-hayaat
tang kamra sard bistar aur tanhaa aadmi
paas se dekhaa to jaanaa kis qadar maghmum hain
an-ginat chehre ki jin ko shaadmaan samjhaa thaa main