Shayari
is kaa kyaa hogaa ye jo unvaan aadhaa rah gayaa
ye bhi lete jaaein jo saamaan aadhaa rah gayaa
Thele par divaan laayaa hai ye shakhs is se milo
is ki ghazlon kaa nayaa majmua do ruupe kilo
ٹھیلے پر دیوان لایا ہے یہ شخص اس سے ملو
اس کی غزلوں کا نیا مجموعہ دو روپے کلو
ठेले पर दीवान लाया है ये शख़्स इस से मिलो
इस की ग़ज़लों का नया मजमूआ दो रूपे किलो

is kaa kyaa hogaa ye jo unvaan aadhaa rah gayaa
ye bhi lete jaaein jo saamaan aadhaa rah gayaa
main bhi thaa haazir bazm mein jab tu ne dekhaa hi nahin
main bhi uThaa kar chal diyaa bilkul nayaa juutaa tiraa
pakDi gai radif to fauran ye kah diyaa
likhnaa kabhi thaa aur main yahaan likh gayaa abhi
ek achchhaa-khaasaa mard zanaane mein ghus paDaa
goyaa ki ek chor khazaane mein ghus paDaa
ek shaadi to Thiik hai lekin
ek do tiin chaar had kar di
kyaa bataaun mein tumhein is shahr kaa jughraafiya
bambai hai ik ghazal gaD-baD hai jis kaa qaafiya