Quote
"main ne kaha kalam-e-'ravish' la-javab hai kahne lage ki un ka tarannum kharab hai"

Dilawar Figar
main ne kaha kalam-e-'ravish' la-javab hai
मैं ने कहा कलाम-ए-'रविश' ला-जवाब है
vasl ki raat jo mahbub kahe good night
वस्ल की रात जो महबूब कहे गुड नाईट
ghar ki tahzib aur hai daftar ka culture aur hai
घर की तहज़ीब और है दफ़्तर का कल्चर और है
namaz o roza o haj o zakat kuchh na sahi
नमाज़ ओ रोज़ा ओ हज ओ ज़कात कुछ न सही
aurat ko chahiye ki adalat ka rukh kare
औरत को चाहिए कि अदालत का रुख़ करे
kahin goli likha hai aur kahin maar
कहीं गोली लिखा है और कहीं मार
"main ne kaha kalam-e-'ravish' la-javab hai kahne lage ki un ka tarannum kharab hai"
"vasl ki raat jo mahbub kahe good night qa.eda ye hai ki english men dua di jaa.e"
"ghar ki tahzib aur hai daftar ka culture aur hai ghar ke andar aur hain ham ghar ke bahar aur ham"
"namaz o roza o haj o zakat kuchh na sahi shab-barat paTakha to chhoD sakta huun"
"aurat ko chahiye ki adalat ka rukh kare jab aadmi ko sirf khuda ka khayal ho"
"kahin goli likha hai aur kahin maar ye golimar likkha ja raha hai"
is ko kahte hain khudaa ki den ye hoti hai den
ab civil-surgeon banegaa jaanashin-e-taan-sen
Thele par divaan laayaa hai ye shakhs is se milo
is ki ghazlon kaa nayaa majmua do ruupe kilo
ye idaare bhi na honge jab to hai is kaa bhi Dar
chalti-phirti shaaeri hogi yahaan har road par
jo non-metric the vo afsar bane yahaan
ab jo Phd hain vo bechein kiraanaa kyaa
maut bhi us shakhs tak aate hue ghabraaegi
jis ke sar par nazaa mein Dafli bajaai jaaegi
sunaa ye hai ki vo suufi bhi thaa vali bhi thaa
ab is ke baa'd to paighambari kaa darja hai