Shayari
aane vaale daur mein jo paaegaa paighambari
meraa chehra meraa dil meri zabaan le jaaegaa
mere hi paanv mire sab se baDe dushman hain
jab bhi uThte hain usi dar ki taraf jaate hain
میرے ہی پاؤں مرے سب سے بڑے دشمن ہیں
جب بھی اٹھتے ہیں اسی در کی طرف جاتے ہیں
मेरे ही पाँव मिरे सब से बड़े दुश्मन हैं
जब भी उठते हैं उसी दर की तरफ़ जाते हैं

aane vaale daur mein jo paaegaa paighambari
meraa chehra meraa dil meri zabaan le jaaegaa
khudaa badal na sakaa aadmi ko aaj bhi 'hosh'
aur ab tak aadmi ne saikDon khudaa badle
miTTi mein kitne phuul paDe sukhte rahe
rangin pattharon se bahaltaa rahaa huun main
divaar un ke ghar ki miri dhuup le gai
ye baat bhulne mein zamaana lagaa mujhe
kyaa sitam karte hain miTTi ke khilaune vaale
raam ko rakkhe hue baiThe hain raavan ke qarib
jaane kis kis kaa galaa kaTtaa pas-e-parda-e-ishq
khul gae meri shahaadat mein sitamgar kitne