Shayari
jahaan ik shakhs bhi miltaa nahin hai chaahne se
vahaan ye dil hatheli par zamaana chaahtaa hai
bahut taakhir se paayaa hai khud ko
main apne sabr kaa phal ho gai huun
بہت تاخیر سے پایا ہے خود کو
میں اپنے صبر کا پھل ہو گئی ہوں
बहुत ताख़ीर से पाया है ख़ुद को
मैं अपने सब्र का फल हो गई हूँ

jahaan ik shakhs bhi miltaa nahin hai chaahne se
vahaan ye dil hatheli par zamaana chaahtaa hai
sunaa hai khvaab mukammal kabhi nahin hote
sunaa hai ishq khataa hai so kar ke dekhte hain
huzur aap koi faisla karein to sahi
hain sar jhuke hue darbaar bhi lagaa huaa hai
zikr sunti huun ujaale kaa bahut
us se kahnaa ki mire ghar aae
taalluq ki nai ik rasm ab ijaad karnaa hai
na us ko bhulnaa hai aur na us ko yaad karnaa hai
guzar jaaegi saari raat is mein
miraa qissa kahaani se baDaa hai