Shayari
aaj zindaan mein use bhi le gae
jo kabhi ik lafz tak bolaa nahin
rote rote mire hansne pe taajjub na karo
hai vahi chiiz magar dusre andaaz mein hai
روتے روتے مرے ہنسنے پہ تعجب نہ کرو
ہے وہی چیز مگر دوسرے انداز میں ہے
रोते रोते मिरे हँसने पे तअज्जुब न करो
है वही चीज़ मगर दूसरे अंदाज़ में है

aaj zindaan mein use bhi le gae
jo kabhi ik lafz tak bolaa nahin
in hazaaron mein aur aap, ye kyaa?
aap, jo ek the hazaaron mein
lafzon se banaa insaan lafzon hi mein rahtaa hai
lafzon se sanvartaa hai lafzon se bigaDtaa hai
kartaa huun ek khvaab ke mubham nuqush yaad
jab se khuli hai aankh isi mashghale mein huun
miri nazar mein hai anjaam is taaaqub kaa
jahaan bhi dosti jaati hai dushmani jaae
tai kar ke dil kaa ziina vo ik qatra khuun kaa
palkon ki chhat tak aayaa to lekin giraa nahin