Shayari
bhuul jaaoge ki rahte the yahaan dusre log
kal phir aabaad kareinge ye makaan dusre log
ham ne dekhaa hi thaa duniyaa ko abhi us ke baghair
lijiye biich mein phir dida-e-tar aa gae hain
ہم نے دیکھا ہی تھا دنیا کو ابھی اس کے بغیر
لیجئے بیچ میں پھر دیدۂ تر آ گئے ہیں
हम ने देखा ही था दुनिया को अभी उस के बग़ैर
लीजिए बीच में फिर दीदा-ए-तर आ गए हैं

bhuul jaaoge ki rahte the yahaan dusre log
kal phir aabaad kareinge ye makaan dusre log
sham-e-khema koi zanjir nahin ham-safaraan
jis ko jaanaa hai chalaa jaae ijaazat kaisi
us ki aankhein hain ki ik Dubne vaalaa insaan
dusre Dubne vaale ko pukaare jaise
khiraaj maang rahi hai vo shaah-baanu-e-shahr
so ham bhi hadiya-e-dast-e-talab guzaarte hain
hoshiyaari dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ranj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai
nafrat ke khazaane mein to kuchh bhi nahin baaqi
thoDaa saa guzaare ke liye pyaar bachaaein