Shayari
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diyaa
jab chali sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa
us ne vaa'da kiyaa hai aane kaa
rang dekho gharib-khaane kaa
اس نے وعدہ کیا ہے آنے کا
رنگ دیکھو غریب خانے کا
उस ने वा'दा किया है आने का
रंग देखो ग़रीब-ख़ाने का

dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diyaa
jab chali sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa
kashti-e-mai ko hukm-e-ravaani bhi bhej do
jab aag bhej di hai to paani bhi bhej do
insaan ke lahu ko piyo izn-e-aam hai
angur ki sharaab kaa piinaa haraam hai
aaDe aayaa na koi mushkil mein
mashvare de ke haT gae ahbaab
vo karein bhi to kin alfaaz mein teraa shikva
jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa
kaam hai meraa taghayyur naam hai meraa shabaab
meraa naara inqilaab o inqilaab o inqilaab