Shayari
had hai apni taraf nahin main bhi
aur un ki taraf khudaai hai
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diyaa
jab chali sard havaa main ne tujhe yaad kiyaa
دل کی چوٹوں نے کبھی چین سے رہنے نہ دیا
جب چلی سرد ہوا میں نے تجھے یاد کیا
दिल की चोटों ने कभी चैन से रहने न दिया
जब चली सर्द हवा मैं ने तुझे याद किया

had hai apni taraf nahin main bhi
aur un ki taraf khudaai hai
vahaan se hai miri himmat ki ibtidaa vallaah
jo intihaa hai tire sabr aazmaane ki
haan aasmaan apni bulandi se hoshiyaar
ab sar uThaa rahe hain kisi aastaan se ham
ik na ik zulmat se jab vaabasta rahnaa hai to 'josh'
zindagi par saaya-e-zulf-e-pareshaan kyuun na ho
ham aise ahl-e-nazar ko subut-e-haq ke liye
agar rasul na hote to subh kaafi thi
naqsh-e-khayaal dil se miTaayaa nahin hanuz
be-dard main ne tujh ko bhulaayaa nahin hanuz
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
dil kaa kamra raushni se bhar gayaa
jab jalaa dipak tumhaari yaad kaa
aa hi jaataa thaa khayaal-e-ghair mere zehn mein
'ain mauqa' par tumhaari yaad ne khaTkaa kiyaa
ijz ke saath chale aae hain ham 'yazdaani'
koi aur un ko manaa lene kaa Dhab yaad nahin
kabhi bolnaa vo khafaa khafaa kabhi baiThnaa vo judaa judaa
vo zamaana naaz o niyaaz kaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
kis kaa hai jigar jis pe ye bedaad karoge
lo dil tumhein ham dete hain kyaa yaad karoge