Shayari
bahut kahaa thaa ki tum akele na rah sakoge
bahut kahaa thaa ki ham ko yuun dar-ba-dar na karnaa
band paDe hain shahar ke saare darvaaze
ye kaisaa aaseb ab ghar ghar lagtaa hai
بند پڑے ہیں شہر کے سارے دروازے
یہ کیسا آسیب اب گھر گھر لگتا ہے
बंद पड़े हैं शहर के सारे दरवाज़े
ये कैसा आसेब अब घर घर लगता है

bahut kahaa thaa ki tum akele na rah sakoge
bahut kahaa thaa ki ham ko yuun dar-ba-dar na karnaa
kab tak tu aasmaan mein chhup ke baiThegaa
maang rahaa huun main kab se duaa baahar aa
main to thaa maujud kitaab ke lafzon mein
vo hi shaayad mujh ko paDhnaa bhuul gayaa
main vahm huun ki haqiqat ye haal dekhne ko
giraft hotaa huun apnaa visaal dekhne ko
sab kaa daaman motiyon se bharne vaale
meri aankh mein bhi ik aansu rakhnaa thaa
us ko khonaa asl mein us ko paanaa hai
haasil kaa hi partav hai laa-haasil mein