Shayari
vaan hinaa-bandi thi aur zulf ko suljhaana thaa
yaan pareshaani thi aur khun-e-jigar khaanaa thaa
L
Lala Mauji Ram Maujidil ke aaine mein hai tasvir-e-yaar
jab zaraa gardan jhukaai dekh li
دل کے آئینے میں ہے تصویر یار
جب ذرا گردن جھکائی دیکھ لی
दिल के आईने में है तस्वीर-ए-यार
जब ज़रा गर्दन झुकाई देख ली
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kam-zarf zamaane ki hiqaarat kaa gila kyaa
main khush huun miraa pyaar samundar ki tarah hai
ek hi anjaam hai ai dost husn o ishq kaa
shama bhi bujhti hai parvaanon ke jal jaane ke baad
insaaf ke parde mein ye kyaa zulm hai yaaro
dete ho sazaa aur khataa aur hi kuchh hai
mujh ko manzur nahin ishq ko rusvaa karnaa
hai jigar chaak magar lab pe hansi hai ai dost
tum samundar ki rifaaqat pe bharosa na karo
tishnagi lab pe sajaae hue mar jaaoge