Shayari
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
جب کہ پہلو سے یار اٹھتا ہے
درد بے اختیار اٹھتا ہے
jab ki pahlū se yaar uThtā hai
dard be-iḳhtiyār uThtā hai

maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
kiyaa dard-o-gham ne mujhe naa-umid
ki majnun ko ye hi thiin bimaariyaan
ham be-khudaan-e-mahfil-e-tasvir ab gae
aainda ham se aap mein aayaa na jaaegaa
haath chaDh jaaiyo ai shaikh kisu ke na kabhu
launDe sab tere kharidaar hain maikhaane ke
is justuju mein aur kharaabi to kyaa kahein
itni nahin hui hai sabaa dar-ba-dar ki ham
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
mire aibon ko ginvaayaa to sab ne
kisi ne meri gham-khvaari nahin ki
hamaare she'r naghme aur sajde
adaa jo ho na paae kyaa hue vo