Shayari
dil ke aaine mein hai tasvir-e-yaar
jab zaraa gardan jhukaai dekh li
L
Lala Mauji Ram Maujivaan hinaa-bandi thi aur zulf ko suljhaana thaa
yaan pareshaani thi aur khun-e-jigar khaanaa thaa
واں حنا بندی تھی اور زلف کو سلجھانا تھا
یاں پریشانی تھی اور خون جگر کھانا تھا
वाँ हिना-बंदी थी और ज़ुल्फ़ को सुलझाना था
याँ परेशानी थी और ख़ून-ए-जिगर खाना था
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
tu mujhe tang na kar a dil-e-aavaara-mizaaj
tujh ko is shahr mein laanaa hi nahin chaahiye thaa
yahi to kufr hai yaaraan-e-be-khudi ke huzur
jo kufr-o-din kaa mire yaar imtiyaaz rahaa
haqiqat ko tamaashe se judaa karne ki khaatir
uThaa kar baarhaa parda giraanaa paD gayaa hai
is tarah hosh ganvaanaa bhi koi baat nahin
aur yuun hosh se rahne mein bhi naadaani hai