Shayari
raushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl
ik khalaa paDtaa hai jis mein ghumtaa rahtaa huun main
main apni yaatraa par jaa rahaa huun
mujhe ab lauT kar aanaa nahin hai
میں اپنی یاترا پر جا رہا ہوں
مجھے اب لوٹ کر آنا نہیں ہے
मैं अपनी यात्रा पर जा रहा हूँ
मुझे अब लौट कर आना नहीं है

raushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl
ik khalaa paDtaa hai jis mein ghumtaa rahtaa huun main
raat din gardish mein hain lekin paDaa rahtaa huun main
kaam kyaa meraa yahaan hai sochtaa rahtaa huun main
main tanhaai ko apnaa ham-safar kyaa maan baiThaa
mujhe lagtaa hai mere saath duniyaa chal rahi hai
divaar-e-khvaab mein koi dar kar nahin sake
ham log shab se aage safar kar nahin sake
tujhe raushni se judaa karun kisi shaam main
tujhe itni taab mein dekhnaa nahin ho rahaa
darakht-e-zard mein jaise haraa saa rahtaa hai
vo Thiik usi tarah mujhi mein bharaa saa rahtaa hai