Shayari
kal vasl mein bhi niind na aai tamaam shab
ek ek baat par thi laDaai tamaam shab
M
Mamnoon Nizamuddintujhe naqsh-e-hasti miTaayaa to dekhaa
jo parda thaa haail uThaayaa to dekhaa
تجھے نقش ہستی مٹایا تو دیکھا
جو پردہ تھا حائل اٹھایا تو دیکھا
तुझे नक़्श-ए-हस्ती मिटाया तो देखा
जो पर्दा था हाइल उठाया तो देखा
kal vasl mein bhi niind na aai tamaam shab
ek ek baat par thi laDaai tamaam shab
ye na jaanaa the ki us mahfil mein dil rah jaaegaa
ham ye samjhe the chale aaeinge dam bhar dekh kar
khvaab mein bosa liyaa thaa raat ba-lab-e-naazuki
subh dam dekhaa to us ke honTh pe but-khaala thaa
koi hamdard na hamdam na yagaana apnaa
ru-ba-ru kis ke kahein ham ye fasaanaa apnaa
buraa maaniye mat mire dekhne se
tumhein haq ne aisaa banaayaa to dekhaa
na ki ghamza ne jallaadi na un aankhon ne saffaaki
jise kahte hain dil apnaa vahi qaatil huaa jaan kaa