Shayari
aakhir ham ko be-zaari tak le aai
har shai par girvida rahne ki aadat
baat karne kaa hasin taur-tariqa sikhaa
ham ne urdu ke bahaane se saliqa sikhaa
بات کرنے کا حسیں طور طریقہ سیکھا
ہم نے اردو کے بہانے سے سلیقہ سیکھا
बात करने का हसीं तौर-तरीक़ा सीखा
हम ने उर्दू के बहाने से सलीक़ा सीखा

aakhir ham ko be-zaari tak le aai
har shai par girvida rahne ki aadat
chand lakirein to is darja gahri thiin
dekhne vaalaa Duub gayaa tasviron mein
kitni ujlat mein miTaa Daalaa gayaa
aag mein sab kuchh jalaa Daalaa gayaa
miri aavaargi hi mere hone ki alaamat hai
mujhe phir is safar ke baa'd bhi koi safar denaa
kisi ke ishq mein barbaad honaa
hamein aayaa nahin farhaad honaa
ab apnaa chehra begaana lagtaa hai
ham ko thi sanjida rahne ki aadat