Shayari
shaghl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hain
kuchh samajh mein nahin aataa ki ye kyaa kahte hain
aa hi kuudaa thaa dair mein vaaiz
ham ne Taalaa khudaa khudaa kar ke
آ ہی کودا تھا دیر میں واعظ
ہم نے ٹالا خدا خدا کر کے
आ ही कूदा था दैर में वाइ'ज़
हम ने टाला ख़ुदा ख़ुदा कर के

shaghl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hain
kuchh samajh mein nahin aataa ki ye kyaa kahte hain
itnaa mardud huun ki Dar hai mujhe
qabr se pheink de zamin na kahin
apni kashti kaa hai khudaa haafiz
pichhe tufaan hai saamne girdaab
kyuun paas mire aa kar yuun baiThe ho munh phere
kyaa lab tire misri hain main jin ko chabaa jaataa
sahal ho garche adu ko magar us kaa milnaa
itnaa main khuub samajhtaa huun ki aasaan to nahin
churaa ke muTThi mein dil ko chhupaae baiThe hain
bahaanaa ye hai ki mehndi lagaae baiThe hain