Shayari
fanaa ke hosh fanaa hain hamaari vahshat se
vo honge aur ki jin par fanaa kaa zor chale
raushan hai darakhshaan hai har ashk gharibon kaa
bas in ki badaulat hi har ghar mein divaali hai
روشن ہے درخشاں ہے ہر اشک غریبوں کا
بس ان کی بدولت ہی ہر گھر میں دوالی ہے
रौशन है दरख़्शाँ है हर अश्क ग़रीबों का
बस इन की बदौलत ही हर घर में दिवाली है

fanaa ke hosh fanaa hain hamaari vahshat se
vo honge aur ki jin par fanaa kaa zor chale
dil mein miri vahshat ne par jitne nikaale the
main ne unhein bal de kar zanjir banaai hai
basti mein bhi kuchh aise andhere hain jahaan par
jhulse hue jismon kaa shabistaan hain saDkein
maqaam-e-aadmi kuchh kam nahin hai
farishton se to kam aadam nahin hai
aap jo chashm-tar ho gae
saare gham mo'atabar ho gae
ye arsh se aanaa to aaghaaz-e-mohabbat thaa
ab farsh pe aae hain anjaam se kheleinge