Shayari
ghash khaa ke giraa pahle hi shoale ki jhalak se
muusaa ko bhalaa kahiye to kyaa tuur ki sujhi
vo aap se ruThaa nahin manne kaa 'nazir' aah
kyaa dekhe hai chal paanv paD aur us ko manaa laa
وہ آپ سے روٹھا نہیں مننے کا نظیرؔ آہ
کیا دیکھے ہے چل پاؤں پڑ اور اس کو منا لا
vo aap se rūThā nahīñ manñe kā 'nazīr' aah
kyā dekhe hai chal paañv paḌ aur us ko manā lā

ghash khaa ke giraa pahle hi shoale ki jhalak se
muusaa ko bhalaa kahiye to kyaa tuur ki sujhi
mai bhi hai miinaa bhi hai saaghar bhi hai saaqi nahin
dil mein aataa hai lagaa dein aag mai-khaane ko ham
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
mazmun-e-sard-mehri-e-jaanaan raqam karun
gar haath aae kaaghaz-e-kashmir kaa varaq
main dast-o-garebaan huun dam-e-baaz-pusin se
hamdam use laataa hai to laa jald kahin se
jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun