Shayari
jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
mazmun-e-sard-mehri-e-jaanaan raqam karun
gar haath aae kaaghaz-e-kashmir kaa varaq
مضمون سرد مہریٔ جاناں رقم کروں
گر ہاتھ آئے کاغذ کشمیر کا ورق
mazmūn-e-sard-mehrī-e-jānāñ raqam karūñ
gar haath aa.e kāġhaz-e-kashmīr kā varaq

jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
ghash khaa ke giraa pahle hi shoale ki jhalak se
muusaa ko bhalaa kahiye to kyaa tuur ki sujhi
mai bhi hai miinaa bhi hai saaghar bhi hai saaqi nahin
dil mein aataa hai lagaa dein aag mai-khaane ko ham
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
main dast-o-garebaan huun dam-e-baaz-pusin se
hamdam use laataa hai to laa jald kahin se
vo aap se ruThaa nahin manne kaa 'nazir' aah
kyaa dekhe hai chal paanv paD aur us ko manaa laa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
qudrat khudaa ki dekhiye pistaan-e-yaar mein
paivand faalse kaa lagaa hai anaar mein
aataa hai yahaan sab ko bulandi se giraanaa
vo log kahaan hain ki jo girton ko uThaaein
vaqt-e-rukhsat tiri aankhon kaa vo jhuk saa jaanaa
ik musaafir ke liye zaad-e-safar hai ai dost
munh chhupaanaa thaa tumhein pahle hi roz
ab kiyaa parda to kyaa parda kiyaa