Shayari
vo gulaabi baadalon mein ek niili jhiil si
hosh qaaem kaise rahte thaa hi kuchh aisaa libaas
husn utnaa ek paikar main simaT saktaa nahin
tu bhi mere hi kisi ehsaas ki tasvir hai
حسن اتنا ایک پیکر میں سمٹ سکتا نہیں
تو بھی میرے ہی کسی احساس کی تصویر ہے
हुस्न उतना एक पैकर मैं सिमट सकता नहीं
तू भी मेरे ही किसी एहसास की तस्वीर है

vo gulaabi baadalon mein ek niili jhiil si
hosh qaaem kaise rahte thaa hi kuchh aisaa libaas
milnaa paDtaa hai hamein khud se bhi ghairon ki tarah
us ne maahaul hi kuchh aisaa banaa rakkhaa hai
qaanun jaise kho chukaa sadiyon kaa e'timaad
ab kaun dekhtaa hai khataa kaa hai rukh kidhar
main ajnabi huun magar tum kabhi jo sochoge
koi qarib kaa rishta zarur niklegaa
kuchh ehtiyaat parinde bhi rakhnaa bhuul gae
kuchh intiqaam bhi aandhi ne badtarin liye
raat ke lamhaat khuni daastaan likhte rahe
subh ke akhbaar mein haalaat behtar ho gae