Shayari
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
Q
Qalaq Merathiham us kuche mein uThne ke liye baiThe hain muddat se
magar kuchh kuchh sahaaraa hai abhi be-dast-o-paai kaa
ہم اس کوچے میں اٹھنے کے لیے بیٹھے ہیں مدت سے
مگر کچھ کچھ سہارا ہے ابھی بے دست و پائی کا
हम उस कूचे में उठने के लिए बैठे हैं मुद्दत से
मगर कुछ कुछ सहारा है अभी बे-दस्त-ओ-पाई का
naala kartaa huun log sunte hain
aap se meraa kuchh kalaam nahin
amn aur tere ahd mein zaalim
kis tarah khaak-e-rahguzar baiThe
har sang mein kaabe ke nihaan ishva-e-but hai
kyaa baani-e-islaam bhi ghaarat-gar-e-din thaa
aasmaan ahl-e-zamin se kyaa kudurat-naak thaa
muddai bhi khaak thi aur muddaaa bhi khaak thaa
be-takalluf maqaam-e-ulfat hai
daagh uTThe ki aabla baiThe
tu hai harjaai to apnaa bhi yahi taur sahi
tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi