Shayari
ab hai duaa ye apni har shaam har sahar ko
yaa vo badan se lipTe yaa jaan tan se nikle
R
Rajab Ali Beg Suroornaadaan kah rahe hain jise aaftaab-e-hashr
zarra hai us ke ru-e-darakhshaan ke saamne
نادان کہہ رہے ہیں جسے آفتاب حشر
ذرہ ہے اس کے روئے درخشاں کے سامنے
नादान कह रहे हैं जिसे आफ़्ताब-ए-हश्र
ज़र्रा है उस के रू-ए-दरख़्शाँ के सामने
ab hai duaa ye apni har shaam har sahar ko
yaa vo badan se lipTe yaa jaan tan se nikle
na pahunchaa gosh tak ik tere haihaat
hazaaron naala niklaa is dahan se
dam-e-takfin bhi gar yaar aave
to niklein haath baahar ye kafan se
laazim hai soz-e-ishq kaa shoala ayaan na ho
jal bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuaan na ho
kyaa yahi thi shart kuchh insaaf ki ai tund-khu
jo bhalaa ho aap se us se buraai kijiye