Shayari
naadaan kah rahe hain jise aaftaab-e-hashr
zarra hai us ke ru-e-darakhshaan ke saamne
R
Rajab Ali Beg Suroorlaazim hai soz-e-ishq kaa shoala ayaan na ho
jal bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuaan na ho
لازم ہے سوز عشق کا شعلہ عیاں نہ ہو
جل بجھئے اس طرح سے کہ مطلق دھواں نہ ہو
लाज़िम है सोज़-ए-इश्क़ का शो'ला अयाँ न हो
जल बुझिए इस तरह से कि मुतलक़ धुआँ न हो
naadaan kah rahe hain jise aaftaab-e-hashr
zarra hai us ke ru-e-darakhshaan ke saamne
ab hai duaa ye apni har shaam har sahar ko
yaa vo badan se lipTe yaa jaan tan se nikle
na pahunchaa gosh tak ik tere haihaat
hazaaron naala niklaa is dahan se
dam-e-takfin bhi gar yaar aave
to niklein haath baahar ye kafan se
kyaa yahi thi shart kuchh insaaf ki ai tund-khu
jo bhalaa ho aap se us se buraai kijiye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye aankhein ye dimaagh ye zakhmon kaa ghar badan
sab mahv-e-khvaab hain dil-e-be-taab ke sivaa
ik mohabbat ke sivaa aur na kuchh maangaa thaa
kyaa karein ye bhi zamaane ko gavaaraa na huaa
unhein khat mein likkhaa thaa dil muztarib hai javaab un kaa aayaa mohabbat na karte
tumhein dil lagaane ko kis ne kahaa thaa bahal jaaegaa dil bahalte bahalte
ab nazaa kaa aalam hai mujh par tum apni mohabbat vaapas lo
jab kashti Dubne lagti hai to bojh utaaraa karte hain