Shayari
mujh se qafas kaa darvaaza kyaa TuTegaa
paanv paDi zanjir mein khoi rahti huun
pahle to tasvir banaati huun teri
phir teri tasvir mein khoi rahti huun
پہلے تو تصویر بناتی ہوں تیری
پھر تیری تصویر میں کھوئی رہتی ہوں
पहले तो तस्वीर बनाती हूँ तेरी
फिर तेरी तस्वीर में खोई रहती हूँ

mujh se qafas kaa darvaaza kyaa TuTegaa
paanv paDi zanjir mein khoi rahti huun
ai kuza-gar de shakl mujhe ik charaagh ki
jis se kisi dayaar ko raushan main kar sakun
miri hatheli pe jo hijr ki lakirein hain
tire visaal se har vaqt rokti hain mujhe
chalo khizaaon mein zikr-e-bahaar karte hain
ki be-qaraar tabi'at ko kuchh qaraar aae
jism thak haar ke so jaataa hai har shab lekin
zehn ke vaaste bistar nahin hotaa koi