Shayari
uThaa hi laayaa sabhi raaste vo kaandhon par
yaqin us pe na kartaa to main kidhar jaataa
kaaT aagaahiyon ki fasl magar
zehan mein kuchh nae savaal ugaa
کاٹ آگاہیوں کی فصل مگر
ذہن میں کچھ نئے سوال اگا
काट आगाहियों की फ़स्ल मगर
ज़ेहन में कुछ नए सवाल उगा

uThaa hi laayaa sabhi raaste vo kaandhon par
yaqin us pe na kartaa to main kidhar jaataa
fursat ho to ye jism bhi miTTi mein dabaa do
lo phir main zamaan aur makaan se nikal aayaa
apne gale pe chalti chhuri kaa bhi dhyaan rakh
vo tez hai yaa kund zaraa dhaar dekh le
gumaan na thaa ki lifaafe mein khat ke badle vo
lahu-luhaan taDapti zabaan rakh degaa
un ki yaad mein bahte aansu khushk agar ho jaaeinge
saat samundar apni khaali aaankhon mein bhar laaungaa
is ghumti zamin kaa mehvar hi toD do
be-kaar gardishon pe khafaa ho rahe huun kyuun