Shayari
chehre to jhurriyon se bhare dil javaan hain
din mein hain shaikh raat mein salmaan-khaan hain
divaangi mein chaak garebaan kiye hue
lailaa milegi baal pareshaan kiye hue
دیوانگی میں چاک گریباں کئے ہوئے
لیلیٰ ملے گی بال پریشاں کئے ہوئے
दीवानगी में चाक गरेबाँ किए हुए
लैला मिलेगी बाल परेशाँ किए हुए

chehre to jhurriyon se bhare dil javaan hain
din mein hain shaikh raat mein salmaan-khaan hain
ab aap hi bataaein vo kaise nibhaaegaa
jis ko nasib dum nahin vo kyaa hilaae gaa
ek qaidi subh ko phaansi lagaa kar mar gayaa
raat bhar ghazlein sunaain us ko thaanedaar ne
mahngaai ke zamaane mein bachchon ki rel-pel
aisaa na ho kamar tiri mahngaai toD de
hamaare laal ko darkaar hai vahi laDki
ki jis kaa baap police mein ho kam se kam deputy
kitne chehre lage hain chehron par
kyaa haqiqat hai aur siyaasat kyaa