Shayari
na aashiq hain zamaane mein na maashuq
idhar ham rah gae hain aur udhar aap
aji pheinko raqib kaa naama
na ibaarat bhali na achchhaa khat
اجی پھینکو رقیب کا نامہ
نہ عبارت بھلی نہ اچھا خط
अजी फेंको रक़ीब का नामा
न इबारत भली न अच्छा ख़त

na aashiq hain zamaane mein na maashuq
idhar ham rah gae hain aur udhar aap
baat karne mein honT laDte hain
aise takraar kaa khudaa-haafiz
dard ko gurda taDapne ko jigar
hijr mein sab hain magar dil to nahin
dafn ham ho chuke to kahte hain
is gunahgaar kaa khudaa-haafiz
mire laashe ko kaandhaa de ke bole
chalo turbat mein ab tum ko sulaaein
ham un se aaj kaa shikva kareinge
ukhaaDeinge vo barson ki gaDi baat